Android Mobile Ka Pattern PIN Lock Ko Kaise Unlock Kare

How to Unlock Your Android Phone, Remove Password/Pattern Lock, Hello dosto kya aap apne Android mobile ka Pattern lock pin lock ka password bhool gaye hai.

Ya aapne apne Android mobile phone me pattern ya pin lick kiya tha par kisi ne aapke mobile me bar bar wrong galat password dal diya jiske karan aapka Adroid phone locked ho gaya hai.

Aur mobile ke screen par show hota hai Too many Pattern attempts! (to unlock, sign in with your google account). etc…

Android Mobile Ke Pattern Pin Lock Ko Kaise Unlock Kare

Is article me mai aapko android pattern lock ko unlock karne ke bare me 2 tarika batuga jisko use kare asani se aap apne android phone pattern lock bhul jane par lock tode sakte hai.

Bahut se log aise hai jo apne phone me pattern password Pin laga kar bhul jate hai, Aur bahut se aise bhi log hai jo pattern lock ko lagane ke time hi confuse ho kar pattern bhul jate hai.

Aur parishan rahte hai ke pattern lock bhul jane par kya kare, jab mobile ka lock nahi khul pata hai to kisi mobile repairing shop wale ke paas jate hai aur phone ka lock tode ke liye paise dete hai.

Ya apne mobile ka password bhul jane par bar bar wrong galat pattern pin dalte hai jiske karan phone puri tarah lock ho jata hai Aur display par show hota hai Too many Pattern attempts! (to unlock, sign in with your google account). etc…

Pahle to pattern lock hone ke karan srif screen locked hua tha par Jab kai bar galat pattern pin dal dene ke karan mobile puri tarah se lock ho jata hai, Aur phone ko restart karne ke bad show hota hai (to unlock, sign in with your google account).

Dosto chalye ab mai aapko pure details ke sath bata hun ke mobile pattern unlock in hindi, mobile ka pin lock kaise khole, pattern lock kaise tode in hindi, phone ka lock kaise tode, mobile pattern lock open kaise kare etc..

Android Mobile Ke Pattern Pin Lock Ko Kaise Unlock Kare

Android Mobile Ke Pattern ya Pin Lock Ko Unlock Karne ke liye yaha mai aapko 2 tarika bata ne jaraha hun jisse apna kar aap asani se apne mobile ko unlock kar sakte hai.

1# Recover Android Pattern Lock Using Boot Menu

Dosto ish methods se aap apne android ke pattern lock ko boot menu options se recover/restore kar sakte hai. bas iske liye aapko 2-4 steps follow  karne hai.

To chalye jante hai ke apne android smart phone ko hard reset Factory reset karke pattern PIN lock ko kaise tora jata hai

Step:- 1

Sabse pahle apne phone ko Switch Off kare. agar aapka mobile battery removal hai to battery ko nikal kar dobara lagaye.

Note:- android smartphone ko hard reset karne se pahle apne mobile ki battery ko 100% full charge kare uske bad hi reset karen.

Step:- 2

Battery full charge aur mobile ko Switch Off kar lene ke bad Ab aap apne mobile kar Power + Volume Up bottom ko ek saath press kare minimum  5 second tak. Jab aapko phone me vibrate hone lage to Power + Volume Up bottom ko chor dena hai.

Note:- Kai sare mobile me Power + Volume Down ya Power + Volume Up + Down ko ek sath press karne se android recovery boot menu ka options ata hai, Is liye aap 2no tarika use kar sakte hai.

Kisi bhi mobile ko hard reset kaise kare

Samsung mobile Ka Password kaise tode:

Agar aap Samsung mobile use karte hai to, “Power + Volume Up” Button or “Power + Home+ Volume Up” button Ye do system se aap apne Samsung mobile phone boot menu option me ja sakte hai.

Agar aap Samsung ka latest version use karte hai to aapko Volume Up and Power button ko press karna hai. or agar aap 4.2.2 android mobile user hai to aapko Power Home and Volume Up button ko ek sath press karke Samsung mobile ke boot menu options me jana hai.

Note :- Samsung User’s Hard reset karne se pahle apne Playstore or Google Account ka password apne paas rakhe, samsung mobiles ko reset karne ke baad aapko usme apna google account mobile confirm karne ke liye dalna hota hai.

Step:- 3

Power + Volume Up key press karne ke bad phone on ho jayega aur screen me recovery menu ka Logo dikhega. Jab aapke screen par No command likha aa jaye.

recovery menu command

Tab aapko ek bar firse Power button ko dobara press karna hai, Power button ko dabate hi aapke screen me android system recovery menu ka option aajayega.

 Step:- 4

Android system recovery menu options me pahunchne ke bad, Recovery menu me ab aapko Volume down button press karke niche aaye aur “Wipe data/Factory reset” option ko Powr button press kar select kare.

Note:- Har company ke smartphone android system recovery options me alag alag key ka options hota hai, islye screen par jo likha hua show ho raha hai usi hisab se button press kare.

Android System Recovery

Step:- 5.

Volume Up down karke Jaise hi aap Wipe data/factory reset option ko select karke Power button press karenge to ek new screen open hoga aur usme aapko wipe data confirm karne ko kaha jayega yaha aap Volume Up down karke Yes Delete All User Data select karke Power button ko daba kar phone ko Format kar le.

Jisse aapke mobile storage ka sara data delete ho jayega agar aapka koi impotent dara phone storage mai hai to pahle usse Memory card me move kar le.

Delete all user data

Step:- 6

Yes delete all user data confirm karne ke bad ab aapko kuch der wait karna hai jab tak reboot system ka option show nahi ho jata. kuch der wait karne ke bad jab aapke phone ka sara data erase ho jayega aur phone reboot ka option show ho jaye , to bas aapko “reboot system now” ko select karke Power button ko parses karna hai.

Recovery reboot system

Reboot system now karne ke bad aapka mobile restart ho jayega, Itna karne ke baad aapka phone fully reset ho jayega aur aapke phone me jitne bhi internal aur external data tha sabhi delete ho jayega, Aur aapke mobile ka Pattern PIN password unlock ho ayega.

2# Recover Android Pattern Lock Using Flashing Zip File Into Sd Card

Dosto ish method se aap ek zip file ko sd card me daal kar sirf pattern lock ko unlock kar sakte hai, agar aap ish method ka use karege to aapke phone ka personal data/file delete nahi hoga.

Step 1.

Sabse pahle aap apne kisi dost ya dusre mobile me ya fir Computer/Laptop pc me Aroma File Manager download kare.

Step 2.

Aroma file manager download kar lene ke bad Ab jis mobile ka pattern lock ko unlock karna hai uska sd card nikal kar aroma file manager zip file ko Memory card copy kar ke pset kar dena hai.

Step 3.

Phir  Power + Volume Down ya Power + Volume Up + Down Key parses karke boot menu option me jakar Install Zip From Sd Card Select Kare.

Install Zip From Sd Card

Step 4.

Uske bad file menu me jakar Aroma zip file ko select karke install karle.

Step 5.

Jaise hi aapke smartphone me Aroma file install hoga to ek recovery mode suru ho jayega phir aap aroma file manager ki setting me jaiye aur Unmount All Device On Start ko select kare, ( Ish parakriya ko 4-5 baar karna bhi padh sakta hai)

Step 6.

Ab Aroma file manager ko open kar Data >> System folder me jaiye aur “Gesuter Key” file ko delete karde ya “Password key” naam ki file ko delete kar karde.

gesture key password key

Step 7.

Gesuter Key file ko delete karne ke bad Ab aroma file manager se bahar aaiye aur phone ko reboot kar kare. reboot system now ko select karke power button parses karde.

Recovery reboot system

Jab reboot system now karte hi aapka mobile restart hone lagega jab phone chalu hoga to pattern lock unlock ho chuka hoga, pattern ko brake karne ka ye sabse aasan tarika hai, ye aapke bina kuch data ko nuksaan pahuchaye pattern lock ko unlock kar dega.

To dosto ummid hai aapko mere Android Mobile ka lock unlock kaise kare ki ye online jankari pasand aayi hogi hogi agar aapko ye post achaa laga to ishe social media me share jarur kare aur apne dosto ko iske bare me jarur bataiye thanks.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button