Google AdSense Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye

How to make money with Google Adsense in Hindi, Hello dosto kya aap online paise kamana chahte hai aur ye janna chahte hai ke Google Adsense Kya Hai ye Kaam Kaise Karta Hai Aur Isse Money earning Kaise Hoti Hai. Adsense Se Paise Kaise Kamaya jata hai or Kitna many earn kar Sakte hai etc..?

Is article me main aapko adsense ke bare me pure details ke sath btaunga. Agar aapko google adsense ke bare me puri jankari nahi hai to is post ko padhne ke bad aapko iske bare me puri janari mil jayegi.

Google AdSense Kya Hai? Google Adsense se Paise Kaise Kamaye

Adsense se earning karne se pahle aapko adsense kya hai or ye kam kaise karta hai ke bare me puri jankari hona bahut jaruri hai. take aap isse achha paisa kama saken.

Google Adsense Kya Hai Aur Kam Kaise Karta Hai?

What is a Google AdSense, How it Work and How Can I Earn money from Adsense? is sawal ke jawab bahut sare internet user janna chahata hai jinko internet se online paise kamane ka showk hota hai.

Par iske bare me aapko internet par bahut hi kam knowledge milegi. Isiliye aaj mai aapke sath ye topic share karne jaraha hun, taki new adsense publisher ko problem na ho or wo adsense ka sahi istemal karke online paise kama sake.

Google AdSense Kya Hai? Google Adsense se Paise Kaise Kamaye

AdSense Kya Hai? Google Adsense se Paise Kaise Kamaye Aur ye kam kaise karta hai iske bare me mai aapko pure details ke sath bata ne jaraha hai.

Jisse padh kar aapko AdSense ke bare me puri jankari mil jayegi bas aap niche bataye gaye sari point ko padhe.

1. Google AdSense Kya Hai

Adsense CPC (cost-per-click) advertisement program hai ye google ki advertising services hai. Google adsense publisher ki website and blog par audience visitor ko target karke automatic text, image, video, and interactive media advertisements ads show karta hai.

Google mostly sites content and audience ko target kar ads serve karta hai. Adsense publisher apni site ke pages and posts me add display kar ke money earning kar te hai. Google adsense se aap per click and per impression revenue generate kar sakte hai.

Yani adsense har ads par alag alag value ka ads show karta hai jo $0.01 USD se lekar $100 USD tak ho sakta hai. ye depend karta hai ke aapke website and blog par kis type ke content hai.

Agar aap ye sonch rahe hai ki akhir google apne publisher ko paisa deta hai to google ko paise kaun deta hai. Actually, google ko wo log paise dete hai jinhe apni company, product, website, business etc.

Ka promotion karna ho yani advertiser google ko payment karte hai. Google us revenue me se 68% commission adsense publisher me bant deta hai or baki 32% commission apne pas rakhta hai.

For example:- google content ads par 68% or search content par 51% revenue publisher ke sath share karta hai. Agar aap janna chahate hai ki adsense kitna percent revenue publisher ke sath share karta hai to iski jankari ke liye aap Adsense Revenue share page par visit kar sakte hai.

Google apne publisher ke liye har type ke ads offer karta hai. Aapko lagbhag har tarah ke content ke liye ads mil jayenge. Aap kisi bhi topic wali sites par adsense advertisement ka use kar sakte hai. advertising program me sabse best network hai google ki adsence services hai.

Google adsense ke alawa bhi bahut sari advertising company hai jaise media.net, bidvertiser, chitika, adnew etc. bahut sare program hai magar in sabhi me adsense sabse jyada paise pay karta hai or isi wajah se ye sabse jyada popular programs hai. Sabse jyada users isi ko hi use karte hai.

2. AdSense Kam Kaise Karta Hai?

Adsense work kaise karta hai? ye janna bhi bahut jaruri hai, Adsense cost per click kar kaam karta hai or per click publisher ko commission share karta hai.

Maan ke chalye main ek advertiser hu or aap ek adsense publisher hai or aap apni site par adsense ads display karte hai. Ab main apne product ko ya kuchh bhi promote karne ke liye google adsense ko kahunga ke mai apne product ko advertisement karne ke liye  per click $5 pay karunga.

Ab jab aapki site par mere product ka vigyapan ads google show karega or aapka koi user us vigyapan par click karega to google mere diye $5 me se aapko 68% yani $3.4 dollar commission aapko dega or baki 32% yani $1.6 commission apne pas rakh lega.

Is tarah se adsense work karta hai or adsense publisher ki earning hoti hai. Agar aap is point par thoda care karnge to ye aapko aasani se samajkh me aa jayega.

3. Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye?

Ab aap ye bhi jan lijye ke adsense se paise kamai kaise hoti hai? Yani paise earning kaise hoti hai, Waise Is bare me aapko upar bataye gaye point 1 and 2 ko padh kar samajh gaya honga ki adsense se paise kamayi kaise hoti hai. Par agar aapko samajh nahi aaya hai to main aapko yaha details ke sath bata deta hu.

Jiasa maine upar btaya hai ki google adsense 68% revenue adsense publisher ko deta hai or baki 32% apne pas rakhta hai. Adsense cost per click yani CPC par kaam karta hai.

Man ke chalye agar aapke visitor daily 200 ads par yani vigyapan par click karte hai or aapko google per click $0.50 pay karta hai to apaki CPC hogi $0.50 or 200 click se aapki earning hogi $100 dollar. Yani agar aap Indian hai to apako ($100x₹64) Rs 6400+ rupees milenge.

Agar aap ye sonch rahe hai ki adsense se kamaye gaye paise kaise milege to google wire transfer ke through direct aapke bank account me payment send karta hai. Google har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai.

Adsense se payout karne ke liye aapke adsense account me minimum $100 earning honi chahiye. Iski jyada jankari ke liye ye post read kare.

4. AdSense Se Income Ke Liye Kya Karna Padega?

Agar aap adsense se earning karna chahate ho to uske liye aapke pas website or blog ya youtube channel ka hona jaruri hai. Agar aapke pas website blog ya youtube channel nahi hai to aap asani se apni site bana sakte hai. Iskel iye ye post read kare.

Aur agar aapke pass computer Laptop nahi hai aur aap apni ek website ya blog bana chahte hai to bhi aap bana sakte hai, uske liye ye post padhe.

Jab aap apni ek Website ya blog bana lenge to uske ke bad aapko apni site par post likhni hai aap apne interest ke anusar kisi bhi topic par post likh sakte hai. Jab aapki site par daily 1000 to 2000 traffic yani visitor aane alg jaye to aapko google adsense ke liye apply karna hoga.

Jab Aap Adsense ke liye apply karenge to 1-2 week me aapka adsense account approve ho jayega uske bad aapko apni site par adsense ads lagane hai. Uske bad aapki site apr ads show hone lag jayenge or aapki earning start ho jayegi.

5. Google Adsense Se Kitne Paise Kama Sakte Hai?

Agar aap ye janna chahte hai ki google adsense se kitne paise kama sakte hai to main aapko iske bare me bhi ta deta hu.  Google adsense se kitna kama sakte ho ye in points par depend karta hai.

  1. Aapki site par traffic kitna hai Yani visitor ketne aate hai
  2. Kis type ke or kis location se traffic milta hai visitor aate hai
  3. Aap apni site par kis topic par content likhte hai
  4. Aap content me kitne high paying keywords use karte hai
  5. And aap adsense ads placement kaise karte hai.

In 5 chijon par aapki adsense earning depend karti hai. Agar aap ye sonch rahe hai ki jiski site par jada traffic hoggi uska jada earning hogi to yegalat hai. Ek person jiski site par 1,00,000 traffic hai or dusra person

jiski site par only 10,000 traffic hai to wo 1 lakh traffic wale se jyada kama sakta hai. Basatre ke use adsense ki jyada knowledge honi chahiye.

To Dosto, ab aapko ye to samajh aa hi gaya hoga ki google adsense kya hai work kaise karta hai or isse income kaise hoti hai. aur Sath hi aap isse kitne paise kama sakte hai.

Agar aapko ye jankari pasand aayi to isse apne dosto ke sath share jarur kare aur iske bare me koi sawal puchna chahte hai to aap comment me puch sakte hai.

 

Related Articles

11 Comments

  1. assalamu alaiqum naqeeb bhai bht hi achi post likhi hai apne allah apko jazye khair de, ek sawal puchna tha apse Blue patti waali se apne heading diyaa usme hand bhi show ho rahi hai… yeh kaise kiya apne agar yeh plugin se hai to aap plugin ka naam bada dijiye Allah hafiz

  2. Sawal 1)

    Hello sir maine ek adsense account kharida tha. usme dusre blogger ke blog url bhi add hai. maine unhe unverified list me add kiya aur apne blog url ko verified list me add kiya. site authorization on kar diya.

    lekin fir bhi unverified list kaa ek blog url adsense crawler me aa aa raha hai. muze laga kai wo bhi verified list me to nahi hai isliye check kiya to wo unverified list me hai. fir bhi wo blog url adsense crawler me aa aa raha hai.

    aisa karte aaj 20 days pure ho gaye lekin wo prob ab tak solve nahi hui.

    Error : You have ad crawler errors, which can result in lost revenue.

    kya karu samz nahi aa raha hai. kauch upaay bataye.

    Sawal 2)

    Mere adsense account me mere blog ke hi kuch aise page not found wale url show ho rahe hai jo ki broken link checker me bhi show nahi hote to unhe kaise fix karu.

    Error : You have ad crawler errors, which can result in lost revenue.

    Maine already aise bahut se url redirect kar liya but ye koi solution nahi hai. aap mujhe iska upay bataye.

    1. 1:- Dusre blogger ka url nahi hat raha hai to aap Only authorize my verified sites to use my ad code ko enable kar den jisse srif verified site par hi ads show hoga. baki aap ke adsanse account se URL dalate nahi ho raha hai to isse koi problem wali bat nahi hai
      Only authorize my verified sites to use my ad code

      2:- Aap google webmaster tool me jakar Crawl Errors ko fixed kare
      Fixed Crawl Errors

      1. Lekin agar sir kuch craweler url search console me hote hi nahi hai, unhe kaise fix kare. jo sirf adsense account me show karte hai .

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button