Voter Id card Banane Ke Liye Online Apply Kaise Kare

How to apply voter id card online in Hindi, Hello dosto kiya aap 18 year + ke ho gaye hai aur aapka abhi tak voter id card nahi bana hai, aur aapne kai bar apne gram sachiv ko voter list me name likhne ke liye bhi diya par firbhi abhi tak aapka voter identity card pahchan patr ban kar nahi aaya.

To ab aapko parishan hone ki jarurat nahi ye kam aap khud ghar baithe online kar sakte hai, upar ke title ko padh kar aap to samjh hi gaye honge ki is article me mai aapke sath kya share karne ja raha hun, Voter id card banane ke liye online apply kaise karte hai jane pure details ke sath Hindi/Urdu me.

How to Apply voter id card online in Hindi

Election me Vote daalne ke liye aapka name Voter list me hona jaruri hota hai tab hi jakar aap Vote dal sakte hai Aur aapki voter ID card aapki identity hoti hai.

Voter ID sirf Election me vote dalne ke liye hi nahi balki Government schemes ka labh uthane ke liye bhi is ki jarurat padti hai Voter identity card ko 18+ ke baad bana lena bahut jaruri hai.

Bank me account kholne ke liye bhi aap is ID ka use karsakte hai waise ab hamara identity card me sabse bara aadhar card identity card ban gaya hai par ab bhi Gov ke bahut se kaamo me voter id ki hi maang kari jati hai.

Documents required for voter id card Apply online

Voter Identity Card ko online apply karne ke liye aapke pass self photoAge Proof and Address Proof documents. hona chahye, Voter card online banane ke liye Address and Age ke liye jo documents required hai aap niche dekh sakte hai.

Age Proof

  1. Birth Certificate
  2. Marksheet of class 10 or 8 or 5
  3. Indian Passport
  4. PAN Card
  5. Driving License
  6. Aadhar letter issued by UIDAI

Address Proof

  1. Indian Passport
  2. Driving License
  3. Bank /Kisan/Post Office current Pass Book
  4. Ration Card
  5. Income Tax Assessment Order
  6. Rent agreement
  7. Water Bill
  8. Telephone Bill
  9. Electricity Bill
  10. Gas Connection Bill
  11. Post/letter/mail delivered through

Voter ID Card Kyu Banana Chahiye

Agar aapka Age 18+ ho chuka hai to Election ID card pahchan part banana apka haq hai ye ID aapka pahchan karati hai ke aap India ke rahne wale hai.

Aur ye bharat sarkar duwara free me banayi jati hai aur voter card ko banane ke baad aap Election me Vote daalne ke liye eligible ho jate hai saath hi ye ID aapki Identity ke roop me kam karti hai jisse ki sarkari kaam me ye apke bahut kaam aati hai.

Voter ID Card Online Kaise Banaye Step by Step Puri Jankari

Voter Identity card waise to aap apne blok se bhi banwa sakte hai ye bhi bilkul easy hai par agar aaponline bana chahte hai to upar bayaye gaye documents me se 2 document aapke pass hai to aap online bana sakte hai.

Agar aapke Age proof and address proof document hai hai to fir aap apne blok se hi banwaye kyu ki online me aapko 2 document upload karna jauri hai.

Dosto mai man ke chalta hun ke aapke pass age proof and address proof ke liye document hai jo upar bataye gaye  hai. Ab apne topic par chalte hai aur aapko batate hai ke akhir voter card banane ke liye online progressing kya hai.

Step 1:

Sabse pahle aap national voter service portal  NVSP  website par jaiye aur phir Apply Online For New Registration Of New Voter click here button par click kare.

Apply Online For New Registration Of New Voter

Step 2 :

Apply Online For New Registration Of New Voter link par click karne ke bad ab aapke samne Form 6 open hojayega jisme aapko apni sari information sahi sahi bharni hai.

Form 6 bahut lamba hai isliye mai aapko parts (section) me divide karke bata ne jaraha hun jisse aapko asani hogi. to chaliye jante hai new voter id apply karne ke liye Form 6 ko kaise fill karte hai.

Section 1:

  1. Apna state select kare.
  2. Assembly/Parliamentary Constituency विधान सभा/संसदीय निर्वाचन-क्षेत्र select kare.
  3. I request that my name be included in the electoral roll for the above Constituency. As a first time voter rodeo button ko tick kare.

Voter identity card kaise banate hai online in Hindi

Section 2:

  1. Left me First name English aur right me Hindi font me apna name likhe.
  2. Apna Last name English aur Hindi me likhe.
  3. Father name pitaji ka naam English aur Hindi me likhe.
  4. Pitaji ka Last name English aur Hindi me likhe.
  5. Relative me father select kare.
  6. Apne apna age dalna chahte hai to Abhi tak aapki kitni age hoi hai vo dale, (Ya fir Date of Birth type kare)
  7. Gender select kare Ladka ke liye Male aur Ladki ke liye Female.

Application for Inclusion of Name in Electoral Roll for First time Voter

Section 3:

  1. गृह सं, House No, Ward number jo dalna chahte hai dale
  2. Street/Area/Locality, गली/क्षेत्र/स्‍थान left me English aur right me Hindi me likhe.
  3. Town/Village शहर/ग्राम left me English aur right me Hindi me likhe
  4. Post Office डाकघर: left me English aur right me Hindi me likhe
  5. Post office ka Pin Code likhe
  6. State/UTराज्‍य/संघ राज्‍यक्षेत्र  select kare.
  7. District जिला select kare

Current address where applicant is ordinarily resident

Section 4:

Aapka aur koi Permanent address hai to yaha dal sakte hai, same address rakhne ke liye Same as Above ko tick mark kare.

Permanent address hai to dale

Section 5:

  1. Aap me kisi tarah ki disability नि:शक्‍तता hai tick kare ! Nahi hai to kisi me bhi tick nahi karna hai.
  2. Email ID hai to dale nahi hai to khali chhor de. (email id kaise banaye ye janne ke liye yaha click kare)
  3. Mobile Number enter kare.

voter id card online kaise banaye

Section 6:

  1. Apna Passport Size Photo upload kare. (Passport size photo kaise banaye)
  2. Birth Certificate आयु प्रमाण पत्र ! ke liye jo document hai vo upload kare aur uska type select kare.
  3. Address proof पता प्रमाण पत्र documents upload kare aur uska type select kare.

Upload Supporting Document fo apply voter card

Section 6:

  1. Apna Town/Village शहर/ग्राम ka name likhe
  2. State राज्य चुनें select kare
  3. District जिला select kare.
  4. Date दिनांक is address par aap kab aye vo dale ya apna date of birth janam din dale.
  5. Agar aapka pahle se voter list me name nahi hai to isse tick kare, hai to niche vale ko tick kare.
  6. Place स्‍थान apne gaon ya deistic ka name likhe
  7. दिनांक Date aajka jo date hai vo dale.
  8. Finally ! sab ek bar check kare sahi hai to Submit भेजे button par click kare.

Voter id card kaise banaye

Now ! aapki request nirvachan aayog tak pahuch chuki hai ab wo verify karenge aur jab aapka Voter ID ban kar ready ho jayega to wo aapke Booth level officer or aapke address par by post pahuch jayega.

voter id card submitting successful

Form ko submit karne se pahle form me bhare sabhi information ko achhi tarah check kar le agar aapne koi galti ki hogi to wo usi tarah ban kar aapke ghar tak pahuch jayega.

I Hope ke aapko ye post pasand aaya hoga aur agar aapka Voter ID banane se related koi sawal hai to aap comment karke puch sakta hai.

Related Articles

3 Comments

  1. बहुत ही अच्छी जानकारी दी ऐसा करके मेने भी कर लिया

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button