Aadhaar Card Ka Mobile Number Change/Update kaise Kare

How to update mobile number in aadhar card in Hindi, Hello dosto kya aap apne Aadhaar Card ka mobile number change update karna chahte hai. Aapko to malum hi hoga ke ab aadhar card Sabse Impotent id Proof aur Document Ban gaya Hai.

Lekin kuchh logo ko Aadhar Card se Related kai sare Problem Hai. jaise Adhaar Card Me Mobile Number Change/update karna, Aadhar Card Me DOB ( Date Of birth ) Change Karna, Address – Email – Name badlana..etc. Par Ab aapko parishan hone ki jarurat nahi hai Ye Sab kam Aap online bhi Kar Sakate hai.

How to update mobile number in aadhaar card

Aapne Jab new aadhar card banwaya tha to jald baji me kisi aur ka mobile number dal diya, ya kisi bhi karan aap apne aadhar card ka mobile number badalna update karna chahte hai. To is article ko follow karke aap asani se jan sakte hai ke Adhar card me mobile number kaise badalte hai.

  1. Voter Id card Banane Ke Liye Online Apply Kaise Kare
  2. Voter Identity Card Sudhar/Correction Kaise Kare Online

Dosto yaha mai aapko adhar card me mobile number update change karne ka 2 method batane jaraha hun, 1 online aadhaar me mobile number kaise badalna hai, 2 Offline adhaar ka mobile number update kaise karna hai.

Aadhaar Card Ka Mobile Number Online Change kaise Kare

Online me aadhar ka mobile number change karne ke liye aapke pass Old Mobile Number hona Chahiye. tab hi jakar aap mobile number update kar sakte hai.

Agar aapke pass mobile number hai to fir aapko offline method apnana hoga jiski jankari niche batayi gayi hai. Online mobile number update karne ke liye bataye jarahe steps ko follow kare.

Step : 1

Adhar me mobile number ya koi bhi update karne ke liye Sabse Pahle aap ko Aadhar Card ki official Website uidai.gov.in ke Aadhaar Self Service Update Portal page par jana hai. Uske liye yaha click kare Aadhaar Details Updates.

Step : 2

Aadhaar Self Service Update Portal page par visit karne ke bad ab aapke samne jo page khulega usme aapko aadhaar number dal kar submit karna hai. Fir uske bad aapke registered mobile number par otp ayega usse dal kar Aadhar data update page visit kar sakte hai.

  1. Enter your aadhar number: Yahan Aapko Apane Aadhaar Card Number Add Karna Hai.
  2. Text Verification me Diye same 4 Digit Code Ko enter Karna Hai.
  3. Last me Send OTP Button Par Click Karna Hai.
  4. Ab Aapke Aadhaar Card Se Registered Mobile Number Par OTP ayega. Enter received OTP me code Enter Kare.
  5. TOP dalne ke Baad Login button par Click Kare.

Aadhar card ka mobile number online kaise badalte hai

Step : 3

OTP code dal kar Login karne ke bad ab aap Aadhaar data update request section page me pahunch jayenge yaha aapke samne bahut sara option dekhne ko milega.

Yahan Diye Option Me Bataye Sabhi Information Aap Online Change Kar sakate Hai. Jaise Name, Gender, DOB, Mobile Number, Email Id.

  1. Mobile Number ko tick mark kare, Ya aapko jo badalna hai usse select kare.
  2. Submit button par click kare.

Select filed to update

Step : 4

Mobile number option ko select karneke bad next page me aapko apna new phone number dalna hai jisse aap update karna chahte hai.

  1. Yahan New Mobile Number Add Kare.
  2. Submit Update Request button Par Click Kare.

Enter data for update

Step : 5

Mobile number dal kar Submit update request karne ke bad next page me aap apna mobile number dekh sakte hai sahi hai ke nahi, agar galat hai to Modify Button par click karke dobara number add kar sakte hai.

  1. Mobile Number sahi se dekhe aapne jo dala tha same wahi hai ke nahi.
  2. Confirm that i have read the instructions ko tick mark kare.
  3. Sahi Mobile Number Add kiya Hai to Proceed button Par Click Kare.
  4. Number Galat Add kiya Hai to Modify Par click Karke sahi number add Karle.

Review update for aadhaar

Step : 6

Proceed button par click karte hi aapne apne aadhaar par jo new mobile number update kiya us par TOP code message aayega jisse aapko yaha dalna hai.

  1. New Mobile Number Par jo one time password (OTP) aaya hai usse dale.
  2. Receiving OTP dal kar Submit Par Click Kare.

Enter receiving OTP

Step : 7

Jaise hi OTP dal kar submit button par click karnge to aadhaar card me aapka new mobile number update request complete ho jayega, aur Change Request Send ho jayega and aapko acknowledgement number mil jayega. Jisse aap download ya print kar sakte hai.

Aadhaar Card Me New Mobile Number Kaise jode

Bad Me Aap acknowledgement Number Se Status Check Karke Dekh sakate hai ki Aadhaar Me Mobile Number Change Ho gaya hai Ya Nahi.

Status Check Karne Ke Liye : Check Aadhaar Status

Waise to online me aadhaar mobile update karte hi mobile number change ho jata hai, par agar nahi hua to 1-2-3 Din Me Aapka New Mobile Number Aadhaar Card Me Jod jayega.

Without OTP -Mobile Number Online Change Kaise Kare

Aadhaar card me add kiya hua Mobile Phone kahi Kho Jaye, Chori Ho Jaye Ya Fir SIM Card Bandh ho Jaye , Block Ho Jaye tab Kaise Aadhar card Me Mobile Number Change Karte Hai Isaka Ye Tarika Hai.

Note : Bina Mobile Number – OTP se adhaar Card Me Online Mobile Number Ab Change Nahi kar sakte hai. ye kam aap offline kar sakte hai.

Agar Aapke Aadhaar Card Me Mobile Number Add ( Joda ) nahi hai To Kaise Add kare, Jode, Update Kare ? Isake Liye Bhi Aapko Ye kaam Offline Option me hi karna hoga.

Aadhar Card mobile number Change/Update Kaise Kare Offline

Option : 1

Offline me aadhar card mobile number add, update, change karne ke liye Aapko Ek Form ( Aadhaar Data Sudhar ) Download Karke. Is Form Me Batayi Sabhi Details Fill Karna hai. Jo aap Change karna Chahte Hai. Sath Me Jaruri Document bhi Add Karna Hoga. uske Bad Ye Form via by Post Se Send karna hoga.

Aadhaar data sudhar from download karke print nikal lene ke bad aapko from is tarah fill karna hai.

  1. Mobile – option ko tick mark are
  2. Aadhaar No. – Apna addhar numbber yaha likhe
  3. Resident’s Name- Apna name yaha likhe
  4. Gender –  Male ya Female se aap jo bhi hai usse tick mark kare
  5. Date Of Birth – apna janam date likhe
  6. Address – Apna pata likhe
  7. Guardian/ Parent/Spouse Name – Apne mata pita ka name likhe
  8. House / Bldg./Apt. Street/Road/Lane – apne ghar, ward road ka number likhe.
  9. Landmark – aapke ghar ke pass koi bari chij hai to uska name likhe Jaise :- Masjid, School, Mandir.
  10. Area/Locality/Sector – Apne shahar ka name likhe.
  11. Village/Town /City – apne gaon ya shar ka name likhe jaha aap rahte hai. 
  12. District – Apna jila dale. 
  13. Post Office – अपने नजदीकी पोस्ट ऑफिस का नाम भरे और पता भरे 
  14. State – Apne Rajj ka name dale.
  15. PIN CODE – Apne post office ka pin code dale jaise :- 302019
  16. E Mail (Optional) – Apna email id dale agar  aapke pass hai to (Email id kaise baye ) 
  17. Mobile No (Mandatory) :- jo new mobile number add karna hai yaha wo likhe. 
  18. Document Details  –   A. POI – B. DOB –  C. POA – mobile number aur email address update, change ya add karne ke liye koi document nahi lagta hai isse aise hi chor de.
  19. Applicant’s Signature/ Thumbprint Yaha apna signature ya angutha lagaye.

mobile number is lost how to update aadhar card

Pura details fill-up karne ke bad Is Address Par Aapko Ye Form Post Karna Hai.

Addresses For sending Update Request By Post:

Address I
Address I I
UIDAI
Post Box No. 10,
Chhindwara,
Madhya Pradesh – 480001,
India
UIDAI
Post Box No. 99,
Banjara Hills,
Hyderabad – 500034,
India

Fill kiya hua from aur ko send karne ke bad aapka mobile number aadhar card me add ya change hone me 1 month tak lag sakta hai. aapka mobile number update hua ke nahi ye dekhne ke liye aap yaha click kare.

Option : 2

Dusara Option Ye Hai Ki Aap apane Area ke Kisi Najdiki Aadhaar Center par Jaye. yahan Se Aapko Ek Form Diya Jayega. Is Form Ko Fill Karke Dena hai. yahan Se Aapka Aadhaar Card me Koi Bhi Correction Karna Hai Ya Mobile Number Change Karna hai to Ho Jayega.

Note: Apane Aadhaar Card Ki Copy Leke jaye. Mobile Number – email Change karne Ke Liye Koi or Document Ki jarurat Nahi hai.

Dosto Is Article se aapne jana ke adhar card me mobile number, change, update and add kaise kiya jata hai. agar aapka koi sawal hai to aap comment karke puchh sakte hai, aur is article Ko Friends, Family Ke Sath Shear Jarur kare.

Related Articles

5 Comments

  1. mera purana wala mobile number kho gaya hai jiske sath adhar card mera link tha, ab naye mobile number se adhar card kaise link karu ?

    1. Aap by post Adhara update application send kar de. ya fir kisi Adhara Center pe jakar mobile number change kar wale

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button