Passport Size Photo Kaise Banaye Photoshop And Online

How to make passport size photo in Photoshop and online in Hindi/Urdu, Hello dosto kya passport size photo crate karna chahte hai adobe Photoshop ki madad se ya direct online.

Is article me mai aapke sath share karne jaraha hun passport size photo banane ka tarika Photoshop 0.7, Ps CS 6 aur online internet ki madad se. Passport size photo kaise banaye in Hindi/Urdu.

how to make passport size photo in Photoshop

Passport size photo ka use daily life me hame kahi na kahi karna hi parta hai. Chahe aap college student ho, koi employee ya phir aam aadmai ho.

Aap chahe PAN card banale ke liye apply kare, Bank me account open karne ke liye apply kare, ya kisbhi sarkari kam ke liye apply karte hai to aapko Passport size photo dene ki jarurat hoti hai.

Ya aap online kisi bhi job ke liye registration karte hai to aapko apna passport size photo upload karna hota hai. Yani ke jaha par bhi apna photo dene ki jarurat parti hai to vo passport size me hi diya jata hai.

Par agar aap photoshop ki dukan par jake passport size photo banwate hai to uske liye aapko kafi sara paisa dena padate hai. Aam taur par 3-6 photo ke liye Rs. 40-50 dena parta hai.

Lekin agar aap khud photo banakar kisi Lab me jakar print nikal te hai to isse bahut sasta parta hai. Aur aapko apne man pasand ko photo mil jata hai, sakate hai.

Indian Passport Photo Size Kya Hai

Passport photo ka size har country me alag alag hai, mai yaha aapko 2 size bata detna hun jo size hamare India me chalta hai. Aap in dono me se kisi bhi size ka photo bana sakte hai waise best size 1st wala hai.

Passport size photo

 

Millimeter Centimeter Inches
Width 35 mm 3.5 cm 1.37 in
Height 45 mm 4.5 cm 1.77 in

 

Millimeter Centimeter Inches
Width 35 mm 3.5 cm 1.37 in
Height 35 mm 3.5 cm 1.37 in

Dosto ab mai apne asal topic par chalta hun aur aapko 2 method bata hun jisse follow karke aap asani se apne photo ko passport size photo bana sakte hai.

1st Method me mai aapko Adobe Photoshop se passport size photo crate karneka tarika bataunga. gar aap Photoshop se photo banate hai to is me aap apni marji se  photo ko edit kar sakte hai.

2nd Method me online tool se passport size photo kaise banate hai ka tarika bataunga, Par is method me aap images ko edit nahi kar sakte sirif passport size phoo bana sakte hai.

Passport Size Photo Kaise Banaye Adobe Photoshop Ki Madad se

Offline passport photo banane ke liye aapko adobe Photoshop 7.0  ya Photoshop CS 6, CS 3, application software apne computer me install karne ki jarurat padegi.

Agar aapke pass adobe photoshop software nahi hai to aapko parishan hone ki jarurat nahi hai. maine 2no ke bare me bataya hua hai, Adobe photoshop download an install kaise karna hai ke bare me.

Photo shop download and install kar leneke bad aapko photo shop basic ke bare me thodara bahut jankari hona chahiye, agar nahi bhi hai to aap is article ko follow karke passport size photo crate kar sakte hai.

Waise agar aapko adobe photoshop basic tool ki puri jankari janna chahte hai to uske liye aap is article ko follow kare.

Method – 1: Make Passport size Photo in Photoshop 7.0 ?

Dosto mai man ke chalta hun ke aapke computer system me adobe photoshop 7.0 ya Ps CS6 install hai to ab jante hai passport photo banane ka tarika step by step in Hindi/Urdu.

Step 1

Sabse pahle aap adobe Photoshop 7.0 ya CS 6 editor open kare, Images ko phottoshp editor me open karne ke liye Left top bar me File menu par click karke Open par click kare. aur uske bad jis folder me aapka images hai usse select karke photoshop editor me open kar le.

Open image in photoshop

Step 2

Photo open karne ke bad c short key ya left Crop tool par click kare. aur photo ko crop karne ki size select kare size es tarah rakhe.

Width : 1.5 in Height: 2.0 in Resolution :20

Crop images in photoshop

Size select karne ke bad jetne hissa ko crop karna chahte hai mouse ka left daba kar (scroll) utne hissa ko select kare. fir uske bad Move tool v Short key press karke Crop par click kare. Is tarh aapka photo crop ho jayega.

image ko crop kare

Step 3

Photo ko crop karne ke bad CTRL + A dabaye aur fir CTRL + T dabakar photo ke uper ek frame bana le frame banane ke liye mouse se scroll kare. frame upar niche char taraf se barabar banaye.

Passport size photo kaise banaye

Step 4

Barabar photo me frame banane ke bad ab aap CTRL + A bada kar image ko select karle aur Edit Menu per jakar Define Pattern per click kare.

Define Pattern

Define Pattern par click karne ke bad yaha aap apne photo ka koi bhi name likh kar ok per click kare.

Pattern name

Step 5

Pattern crate karne ke bad Ab aapko ek new file create karna hai jo aapke photo ke full page ka size hoga, Top me File menu par click karke New par click kare.

Crate new file in photoshop

Aur yaha par aapko new file full size is tarah rakhna hai.

  • Width :1200
  • Height :800
  • Resolution :200

Images height and width

Step 6

New file crate karne ke bad Ab aapko apne A4 file size me 8 photo bana hai uske liye bas Edit Menu me jakar Fill per click kare.

adobe Photoshop me passport size image kaise banate hai

Fill par click karne ke bad apne pahle jo pattern banaya tha usko select karke ok karna hai. 1 Use me Pattern select kare, 2 Custom pattern par click kare, 3 aapne jo pattern banaya tha usko select kare, 4 OK par click karde.

choose custom pattern

Fill option me Custom pattern select karke Ok karte hi aapke image file size me 8 photo ban jayega jisse aap apne photoshop me dekh sakte hai.

Step 7

Ek file me 8 passport size ka photo banane ke bad ab aap Image ko Save karene ke liye top menu bar me File menu par click karke Save As par click kare.

Save passport size image

Save ass par click karne ke bad ab yaha aap image ka format select kar ke photo ko save kar lena hai image format me JPEG ya PNG rakhe yahi sabse best format hai. uske bad photo ki size select karne ka option hoga jisme aap jaisi size chahte hai vaisi select kar photo ko save kar de.

photoshop save images

Dosto is tarah se aapne successfully adobe Photoshop ki madad se passport size images bana liya hai. ab janenge ke online internet ki madad se kaise  passport photo banate hai.

How to make passport size photo Online in Hindi

Agar aapko photoshop sahi se nahi use karne ata hai to aapko parishan hone ki jarurat nahi hai aap simple apne photo upload karke kuch time me hi 8 photo ka full size file bana sakte hai.

Method – 2: Crate passport Photo in Online ?

Step 1:

Online banane keliye sabse pahle aap apne web browser me www.idphoto4you.com open kare.

  1. Country: me India select kare.
  2. Photo: mepassport 3.5×4.5 cm select kare.
  3. Print size: 10×15 (4×6 inch) select kare.
  4. Choose file: par click karke computer ke jis folder me aapka images hai use select kare.
  5. Upload: sab check kar lene ke bad Upload button par click kare.

Online passport size photo bnanane ka tarika

Step 2:

next page me upload kiya hua photo ko Crop karna hai yani aapke image ka jetna hissa thik hai usse select karna hai. baki yaha par bahut sara option hai usse bhi use kar sakte hai, then “Make Photo” par click kare.

Make photo in passport size online

Step 3:

Make photo par click karne ke bad aapko 90 sec wait karna hoga, aagar wait nahi karna hai to aap Google+ button par click kare. aapke samne download button aa jayega uss par click karke photo ko download karle.

Download passport size photo

Photo download kar lene ke bad aap kisi bhi printing machine se passport photo nikal sakte hai.

i home ke aapko ye jankari pasand aayi ho aur aake passport photo banane ke liye ye post help full raha ho. agar aapko koi problem aarai hai to comment karke pooch sakte hai thanks.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button