SEO Kya Hai, Search Engine Optimization Ki Jankari Hindi Me

Hello Dosto, Aapne apna blog website bana liya hai par abhi tak aap, SEO Kya hota hai, ke bare me nahi jante hai. Aapko Search Engine Optimization ki basic information hona bahut jaruri hai.

Kyu ke aap SEO ko jane bina apne blog par search engines se quality traffic receive nahi kar sakte hai. To dosto mai aapko iske bare me details ke sath bataounga ki aakhir seo hai kya or isse kaise yous karte hai hine me.

SEO Kya Hai Search Engine Optimization in Hindi

What is SEO Kya Hai

SEO Shabd bolne me to baut chhota sa lagta hai par iske bena blog ho ya website sub adhoora hai. Seo ka matlab iska full form hai, search engine optimization. SEO kisi bhi website ya blog ko iss kabil banata hai ke jab koi visitor kuch search karta hai to vo website ya blog search me pahle number par dikhta hai.

Agar aap ka koi website/blog hai, or jis bhi blog ka SEO badhya rahega, to uss website ko kisi bhi search engine jaise Google, Yahoo, Bing Etc… me search karte hai to vo website 1st page par show hogi.

Actually Blog ka SEO badhya karna koi bahut mushkil kam nahi hai jise aap samajh na sake. Agar aap iske bare me carefully padhenge to ye 3 words ka lesson aapko 1 se 2 day me samjh me ajayega or fir aapko iske bare me puri information hogi. Bus jarurat hai to isse achhi tarah samajhne ki jo aap seo ko asani se samajh sakte hai.

SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization. Yani apni site ko search engine se adhik traffic pane ke liye optimize karna. Ise is shabdo se aasani se samajha ja sakta hai.

SEO stands for “search engine optimization.” It is the process of getting traffic from the free, organic, editorial or natural search results on search engines.

Iska matlab ye hota hai ke search engine se free, organic and natural traffic pane ke liye apni site content ko optimize karna.

Simple shabdo kahe to blog par aisa content likhna chahiye jo search engines result me hamare blog ka post badhya position me show ho or hamare website par search se jyada visitor aaye or badhya traffic mil sake.

Google, Bing, Yahoo jaise bahut sare search engines me bhut sare blogger ke content show hote hai or ye blogger ek do nahi balke bahut sare hote hai.

Kuchh sal Pahle internet par bahut kam website blog hote the but ab duniya kar har teesra choutha aadmi internet use karta hai. Isliye internet par ab millions of website blog mojud hai.

Or un sub website blog me se search engine unhi logo ki post ko first rank me show karta hai jinki post search engine friendly hoti hai. Yani search engine optimization karke likhi gayi article ho.

Blog Ke Liye Search Engine Optimization Ki Jarurat Kyo Hoti Hai?

Agar Aap koi blog website bante hai ya internet par online koi bhi business karte hai aapko har blog website or online business ke liye visitors (customers) ki jarurat padti hai.

Or aaj ki duniya me search engines jaise google, Bing, Yahoo and Ask jaise search engine. Bhut power full doctor ban gaye hai. Inke bina blog ya online business ko success banana bahut hi mushkil kaam hai.

Man lijye  aap ek website ke owner hai or affiliate product sell karte hai ya google adsense jaisi advertising service use karke earning karna chahte hai to aapko organic traffic ki bahut jarurat hai.

Kyuki aaj har koi sabse pahle search engines me apna topic search karta hai. Success online business karne wale log ka kahna hai ki website par direct aane wale traffic se badhya search engine se aane wale traffic hai jis par product jyada sell hoti hai.

Agar aapki website par 10,000 visitor direct aate hai or aap daily $100 money earn karte hai . To Agar aapki website par wahi visitor 5,000 yani 50% traffic search engines se aata hai to aap per day $100 to $500 money earn kar sakte hai.

Ab ye bat aapko clear samajh me aagaya hoga ki website blog ke liye search engine traffic ketna jaruri hota hai.

Now blogger ko apne blog keliye Search engine se badhya traffic pane ke liye SEO ko follow karna bahut jaruri hai. Yani ki aapki site ke liye Search Engine Optimization most important hai.

SEO process Basically 2 type ki hoti hai On-Page or Off-Page

  1. On Page: Isme target (under) Website speed, Title tag, Meta description, Keyword Density, Heading content, Image alt tag, Internal and external links, URL structure, Bold important keywords, Responsive website design, Post heading, Post length and sitemap optimization ye sub aate hai.

2.  OFF Page : Off page SEO me Search engine submission, Use keywords in post, Bookmarking your website, Directory submission, Use google plus to boost your site traffic, Use twitter Facebook and other social media sites, Use question answer form, Slide share, Blog commenting or Guest post in sub ko yous karna hota hai.

On page, Off page ke elawa sabse important factor hota hai Back links. Aapki site par jitne jyada back links honge google ki nazar me aapki site ki utni hi reputation badhti jayegi. Aap apne blog me duste post or dusre website ka link jaroor use kare.

Dosto akhir me mai ye bat kahunga ki aap onlineJankari.net ke Seo Category, Tags me jakar, search engine optimization ke bare me SEO Kya hot Hai se related post jaroor padhe. usme aapko iske bare me puri jankari milegi.

To dosto aapko is post me Seo se related jankari kaisi lagi agar aap ka koi sawal hai to aap comment bux apne sawal likh kar jaroor puche or is article ko share karna na bhule.

Related Articles

8 Comments

  1. great article sir….
    hello sir mera ek swal hai blogger post ko google search engine par search karne par jo “translate this page” aata hai usse disable kaise karte hai

  2. sir mujhe bataye meri site pahle rank karne lagi thi fir uske bad violation aa gya mene ye problem to solve kr li pr ab google meri site ab seach me aa hi nahi rahi h ye problem kab tak solve ho sakti h

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button