IRCTC Se Online Book Kiya Hua E-Ticket Cancel Kaise Kare

Cancel train ticket online. Hello dosto aapne online e-ticket book kiya tha ab kisi majburi ya koi other region ki wajah se aapne train ka safar nahi karna chate hai. To chalye main aapko is article me batane jaraha hun ke irctc se book kiya hua e-ticket ko cancel kaise karna hai. Ticket cancel karne ki puri jankari.

Cancel train ticket online.

E-ticket ko aap train ke chaart taiyaar hone se pahle tak ticket cancel kar sakte hai, Online book kiya hua E-Ticket ko railway station ke counter par jakar cancel nahi kiya ja sakta hai. Agar aapne train ticket www.irchtch.co.in par online book kiya hai to ticket cancellation karne ne ke liye bhi aapko IRCTC par visit kar ke account me login hokar railway ticket cancellation karne ka process karna hoga.

Cancellation Charges For Confirmed Train Ticket

Train ka chart Nikalne se pahle tak e-ticket cancellation charge:

Conform e-ticket cancel time, agar aap train ke nirdhari samai ke start hone se kamse kam 48 ghanta pahle tak ticket cancel karte hai to ticket cancellation charge ye hai.

  1. AC Fist Class/ Executive Class ke liye 240 /- Rupees, 1 passenger.
  2. AC 2 Tier/First Class, Ke liye 200 /- Rs, 1 passenger.
  3. AC 3 Tier/AC Chair car/ AC 3 Economy, ke liye 180 /- Rs 1 passenger.
  4. Sleeper Class, ke liye 120 /- Rs , one passenger.
  5. Second Class, ke liye 60 /- Rs, parti 1 passenger.

Conform e-ticket train start hone ke time se 48 Ghanta se lekar 12 Ghanta ke andar ticket cancel karte hai to cancellation charge 25% katega.

Or agar Conform e-ticket Train start hone ke 12 Ghanta ek ander tak ticket cancel karte hai to cancellation charge 50% katega.

Train ka Chart Nikal Jane Ke Bad E-Ticket Cancellation charges :

Normal user train ka chart seat nikal jane ke bad online book kiya hua e-ticket cancel nahi kar sakte hai. User agar chahe to online TDR Filing ka use kar sakte hai or IRCTC ke duwara digai Tracking Service ke jarye paise wapas lene ki koshis kar sakte hai.

confirm e-Ticket cancel nhi kiya gaya train ke nirdhari samai ke 4 Hours pahle ya online TDR apply nahi kiya gaya hai to iss surat me ticket ka koi paisa refund wapas nahi milega.

RAC e-Ticket cancellation, train ke nirdarit samai ke 30 minute se pahle or online TDR apply nahi kiya gaya hai to RAC e-ticket cancel karne ka koi refund nahi milega.

 minit निर्धारित की स्थिति में यदि टिकट रद्द नहीं की गई या गाड़ी के निर्धारित प्रस्थान से 30 मिनट पहले तक ऑनलाइन TDR दाखिल नहीं किया गया हो तो किराए का कोई रिफंड देय नहीं होगा |

TATKAL E-Ticket Cancellation charges :

Tatkal e-ticket cancel kiya jata hai to kuch bhi paise refund nahi milega. contingent cancellation or waiting listed tatkal e-ticket cancel karne par railway rules ke anusar fees me katouti ki jayegi. Waise Tatkal e-ticket cancellation allow nahi hai.

WAITING E-Ticket Cancellation charges :

Agar aapka ticket waiting hai aur aap usse cancel karna chahte hai, ya ticket confirm nahi hone ke karan apne se cancel ho gaya to charge katega 60 /- Rs, parti 1 passenger.

Train Kisi Wajah Se Cancel Hojane ke Surat me Cancellation charges :

Sailab, kohasa, Accident, ya koi bhi technical issue ki wajah se train PRS me “cancel” hota jata hai to train Departure yani nirdharik samai ke 3 day tak ticket cancel kiya jasakta hai. Refund me pure paise wapas milnge.

Ye bhi padhe..

IRCTC Se Online Book Kiya Hua E-Ticket Cancel Kaise Kare

Dosto aap to samajh hi gaye honge ke indian railway ke e-ticket kab cancel kar sakte hai or ticket ka cancellation charges keya hai etc.. Ab ham apne topic par chalte hai or jante hai ke kaise irctc se online book kiya hua e-ticket ko cancel karna hai. Bus uske liye niche diye gaye khuch simpale steup ko follow kare.

Step 1: Login IRCTC

Railway ticket cancel karne ke liye sabse ahle aapko https://www.irctc.co.in par jakar login karna hai. Apne account ke Dashboard me bahunch ne ke bad screen par bahut sara option najar ayega isme booked ticket history (new) par click karna hai.

cancel train ticket

Step 2: Booked ticket history

Ab aap booked ticket history section me pahunch jayenge yaha aap ne jetna bhi ticket book kiya hai uska pura list dekh sakte hai. Booked tickets me jis ticket ko cancel karna hai left site pe usse select kare. Than Cancel Ticket par click kare.

booked ticket history

Step 3: Cancellation request

Cancel ticket par click karte hi ek new popup me e-ticket cancellation request section page khulega, yaha par asbhi passenger ka ticket booked details dekh sakte hai.

Bus aapko passengers option me right site pe select ko tick mark karna hai. Uske bad cancel ticket par click kar dena hai.

Note: Agar aapne 2 char ticket book kiya tha aur usme se srif 1-2 passenger ka hi ticket cancel karna hai. to srif usi ke name ko tick kare jis ka ticket cancel karna hai. Aur sab ka cancel karna hai to sabko tick kare.

1 ticket cancellation request

Step 4: Conform ticket cancellation

Select kar ke cancel ticket par click karne ke bad ab ek new popup open hoga isme aap se pucha jayega ke aap ne ticket cancellation karne ka request kiya hai ticket cancel karna chahte hai to OK par click kare. Nahi karna hai to Cancel kar de than e-ticket cancel karne ke liye OK par click kar ke cancellation request ko Conform karde

Conform cancellation

E-Ticket cancellation details

Aapka Indian railway e-ticket cancellation process successful hogaya hai yaha aap cancellation details me booking amount, Refund amount or Cancellation charge dekh sakte hai. Or current status me bhi dekh sakte hai ke ticket cancel likha hua hai.

Aap chahe to cancel kiya hua ticket ka print bhi nikal sakte hai bas uske liye Print cancel receipt (English) ya Hindi par click karke print nikal le.

e-ticket cancellation details

IRCTC Ticket Cancellation Refund Rules

Ticket cancellation refund rules me aap ne paise pay karte samai jis payment processor ka use kiya tha same wahi account me aapke cancel kiya hua ticket ka amount 24:00 ghanta se lekar 1 week ke andar tak paisa bank account pe ajayega.

To doston aapne dekha ketna asani se aapne ticket ko cancel kar liya agar aapko koi problem horahi hai ya aapka irctc se related koi sawal hai to niche commitment box me comment karke jarur puchle. Or ye online jankari aapko achha laga to apne doston ke sath isse share karna na bhule.

Read also…

Related Articles

79 Comments

    1. Online book kiya hua Wetting ticket chart nikalne se pahle Agar conform nahi hota hai to apne se cancel hojayega, or aap chahe to apnese bhi cancel kar sakte hai

  1. Iska matlb wetting tekat online book karne par compham nahi huwa to khud cancel ho jaye ga keya

  2. Online e tickets agr wetting hai to kiya me Travis nahi kar sakta hu keya keyo ki man lo ki mujhe 10 tarik ko kahi jana hai aur mene 8 tarik ko tickets book keya hai who bhi wetting hai me cancel nahi karna chta hu me use wetting tickets par travel karna chta hu to ab me keya karu batao

    1. Wetting ticket se travel nahi kar sakte hai aap ticket ko cancel mat kijye confirm ho gaya to thik hai nahi to vo apne se cancel ho jayega aur account par paisa chala jayega

  3. Sir maine apni Family ke 5 logo ka online tickets book kiya tha joki waiting me tha to maine use cancel kardiya or mujhe refund ka Msg aaya ki 3 se 4 din me paise acaunt me refund aajayenge but aaj 5 din Hogye paise refund nhi aaye bataiye… Mai kya karu

    1. Parishan hone ki koi jarurat nahi hai IRCTC se paise refund ane me kabhi kabhi 10 din tak bhi lag jata hai.
      4-5 din aur wait kar le agar paise nahi aya to fir cancellation ticket ka pura details customer service ko bhej sakte hai par iske jarurat nahi padegi

  4. Hame 14 may 2017 ko ticket book karne k baad kisi wjh se ticket cancel karna pada..aur aaj 22 may 2017 h..abhi tk balance return kyu nhi aaya h…plz kuch kariye…koe contact ho to bataiye…

    1. Parishan hone ki jarurat nahi kai kabhi kabhi account par paise wapas aane me 10-15 din tak lag jata hai. pas aap ek bar booking option me dekh le ke ticket Cancel dekha raha hai ke nahi.

    1. iss koi frak nahi parta hai ke aapne ketne der bad ticket cancel kar diya hai. IRCTC 7 day me paise return kar deta hai, kabhi kisi karan 10 din bhi laga deta hai

  5. हेलो सर मैं अभी-अभी टिकट बुक किया जिसमें की मेरा ट्रांजैक्शन फेल बताया और मेरे अकाउंट से पैसे कट गए तो फिर वह पैसे वापस मिलेंगे कि नहीं

  6. Sir maine aaj hi irctc par online (SL) ticket confirm kiya aur aaj hi cancel karna chahta hun to kitna paisa katega aur paisa kitne din me mil jayega. Reply please….

  7. Sir mene aaj ticket kiya 28 waiting se 19 waiting hua aur train a gayi hai but TT bolte hai ticket cancel ho gya hai but mujhe aisa koi msg nahi aaya sir kya karna chahiye

  8. Sir on line booking maine apne friend ki id se krvya tha now myself on rac list can reservation be canceled on resevation counter pls clarify

  9. Sir him ticket cancel karwaye 20 din huaa Hai aabhi tak paisa refd nhi huaa Hai tickets hum 10 din pahle hee canceled kiye the …waiting me tha is liye ……but paisa aabhi tak return nhi huaa Hai kya kare sir plz help me sir

    1. Waise paisa 1 week me ajata hai par kabhi kabhi kisi technical problem ki wajah se late ho jata hai 4-5 din aur wait karle agar paisa nahi aata to customer care se contact karna hoga

  10. Sir maine ek sath 3 ticket nikala hai but ab usmese 1 cancle karna hai kya ye ho shakta hai
    Aur hoga t kaishe

    1. Ji ha 1 ticket bhi cancel kar sakte hai
      Ticket cancelation options me jakar Jis ticket ko cancel karna hai usse tick mark kar lenge baki ko tick nahi karna hai

  11. Sir maine ek sath 3 ticket nikala but ab usmese 1 ticket cancle karna hai
    Kya ye hoga
    Aur hoga to kaise

    1. Booked Ticket History option me jakar Jo ticket aapne book kiya hai usse select karke cancel par click kare. Jetna tickets aapne book kiya hai sabka name show hoga fir usme se Jis ticket ko cancel karna hai usse tick mark karke OK kar de

  12. Sir mane e ticket IRCTC se book Kiya tha but ticket confirm nhi hua h ..
    Na mere phone p koi massage aaya h company ka

    Sir m kya Kru ..

  13. Assalamu Alaikum
    Si,,,
    Mene irctc se, 4 logo ka ticket ek sath hi book kiya tha, pr ab us ticket se ek admi ka name cancel karna hai, to mujhe kya karna hoga?
    Please fast replay

    1. Walaikum assalam Aap same yahi setup follow kare bas aapko cancellation Request option me jis admi ka ticket cancel karna chahte hai uske name Ko select tick mark kare. Baki kisi Ko bhi tick mark nahi karna hai

  14. Asslam walaikum sir.sir mera sawaal ye he.agar me online e ticket book karu toh me woh printout kar sakte hu .?

  15. Sir Mera ticket cancel nhi ho rha hai IRCTC login Karne ke baad ticket show nhi kar rha hai not record fund bata rha hai mai Kya karu

  16. Sir mera ticket cnfrm h bt mai apna plan cancle kr diya hu jaane ka ….lekin mai apne hu ticket pr kisi dusre ko bhejna chahta hu to kya wo mere cnfrm ticket pr ja skta h ??
    Agr ja skta h to kya process krna hoga mjhe ???
    Plzz rplyyy

    1. Ji ho sakta hai par 24 h pahle. uske liye aapko e-ticket ka print out nikal kar sath me koi bhi ek original ID proof, le kar kisi bhi najdiki railway aarakshan kendr me jakar bolna hai ke hame apna ticket kisi aur ke name se transfer karna hai. Aur sathme jiske name ticket transfer karna hai uska bhi ID proof lelenge.
      Agar railway aarakshan kendr ka staps kuch bolta hai ke ticket transfer nahi ho payega to aap usko ye link dekha sakte hai. New Facilities In E-Ticket ya aap is link ka bhi ek print out nikal wale.

  17. Mera ticket 12/9/17 ka he abhi rac 167 he New delhi to Bangalore ka he chart peripad hone ke bad cancelled kra to kya refund mile ga ya nhi???

  18. Sir,
    mene eticket kiya he ek cyber cafe se or wo confirm he,kya me us ticket me adhar card dikhakar ja sakta hu

  19. Sir,
    mene jo eticket kiya he uska sms mobile me aya nehi,dikha raha he sms send 3 days before journey,
    kese me ye sms pa saku

    1. Ticket booking history option me Send message to mobile ka option rahta hai jisse dobara Ticket details ka message aajata hai. Par ye option jo ticket book kiya tha ussi ko show hoga. Aap cyber cafe wale ko phone kar ke bol sakte hai

  20. namskar sar mera name dinesh h sar mane 2mnt pahle 5tict buk ki thi online BT SAR MUJE UN ME SE ek ticket cansal karni h magher sar paroblam ye h ki mera irctc account deactivate bata raha h kya m dusre acount se vo ticket cansal kar sakta hu kya plzzzzz sar iska koi upay bataye

  21. Dear sir, main ek rac booked ticket cancel kiya uske baad mere no pe msg aaya ke refund 72 hrs me credit kar diya jayega phir 2 din baad refund credited ka msg bhi aaya but main account balence check kiya to balence nahi dikha raha hai. So please help me

    1. Aapko jada parishsn hone ki jarurat nahi hai IRCTC se paisa aapke account par transfer ho gaya hai par chhutti hone ke karan abhi tak vo paisa aapke bank account me add nahi hua hai Monday tak Wait karen.

    1. kabhi kabhi kuch technical problem ki wajah se aisa hojata hai. aapka paisa 7 days ke andar aapke account par wapas aajayega

  22. Hello Sir, Maine 12/12/17 ko apni family ke 4 logo ka ticket IRCTC se 26/12/2017 ke liye kiya tha par Wo train me departure time tak bhi confirm nahi hua, to meri journey nahi ho payee, kya Mera ticket auto cancel ho jayega?
    Aur Mera paisa Wapas ho jayega?

  23. Sir mene abhi abhi 14321 Baraily bhuj express ka tickets online book kiya tha but mere account se Paise kat gye or phir lite Chali gyi jisse website aage nhi gyi or na mujhe PNR NO mile or na hi mujhe ye pata hai ki mera Tickets book hua bhi hai ya nhi…
    or na hi Meri id pr tickit book history me vo tickets show ho rha h …book history me no record found bata rha hai ..
    plz sir bataiye kya mujhe mere paise vapas mil jayenge kya mene SBI net banking se payment kiya h

    1. Aap ticket booking status me check kar le agar waha ticket show kar raha hai to koi bat nahi agar ticket show nahi Karratha hai to aapke account me paise wapas ajayega

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button