Google Keyword Ranking Check Karne Ke Liye 10 Best Website

Har blogger ki kahish hoti hai ke jab vo post publish kare to uska post google, yahoo, bing jaise search engine me 1st page par show ho. Par post publish karne ke 3-4 din bad jab search engine me apna Keyword Ranking search karte hai to vo first page par dekhne ko nahi milta hai.

Is article me aapko batane jaraha hun ke aap kaise pata kar sakte hai ki aapka blog search engine me kis ranking me hai. or google, bing, yahoo me koi keyword search karne par aapka blog post ketne number par show hota hai yani kis ranking me aata hai.

Top 10 Website For Google Keyword Ranking Checker

Har professional blogger google ya kisi other search engines me apne blog post ki position check karne ke liye online keyword ranking checker tools ka jarur istemal karte hai.

Aisa karne se unko ideas mil jata hai ke is post me hamne jetna keywords kiya hai vo kete number par show ho raha hai. agar top 10 me show nahi ho raha hai to article likhne me ketni galti ki hai saka pata laga ja sake.

Aksar New blogger ye galti karte hai ki post content me bina keyword use kiye article ko publish kar dete hai. jisse unhe search engine se acha result nahi mil pata hai. Google keyword planer tool par aap top keyword ka pata laga sakte hai.

Agar aapko google keyword planer use nahi karne aata hai to aap uske liye ye article padh sakte hai. Most read Google Adwords Keyword Planner Tool Ko Kaise Use Kare

Jab bhi aap koi post pulish kare to Post ko search me jaldi show karne ke liye Google Search Results me submit kar diya kare isse aapka post search me jaldi show hone lagega.

Post ko full SEO friendly banane ke liye aapko on-page seo ki jankari honi chahiye agar aapko on page seo ke bare me jankari nahi hai to pahle aap ye post padhe. On-Page SEO Kya Hai Content Ko Perfect Optimize Kaise Kare

Fir jab aap seo ke hisab se apna post likh kar publish kar de to uske bad aap apni post ki ranking check karne ke liye is post me btaye ja rahe tools ki madad se check kar sakte hai.

ki akhir aapka post search engine me kis number par show horaha hai. better result ke liye post 1-20 number par aani jaruri hoti hai. agar 20 number ke upar aapka post hai to fir aapko usme kuch sudhar karne ki jarurat hogi.

Google Keyword Ranking Check Karne Ke Liye 10 Best Tools

Dosto aap to samjh hi gaye honge ki blogger ke liye kewords ranking check karne ki kuy jarurat hoti hai. to chalye ab ham jane hai ki vo koun koun si 10 best site hai jo search rank batati hai.

1. SEMrush

Semrush Ek bahut badhya site hai search check karne ki Semrush me aapko keyword checking karne ke liye complete solution mil jata hai.

Semrush me aapko apne plog post ka pura usr dalna parta hai www.blogname.com/simple-post-name url ko check karne ke bad search ranking me kousa keyword ketne poison par hai uska value kya hai sab ka sahi report show karega.

Agar aapke keyword me koi galti hogi to sath me uska solution bhi bataye ga ke is tarah se nahi bakle is tarah use kare.

But Semrush ek paid service hai. par aapko parisath hone ki jarurat nahi hai aap isko one month ke liye free me bhi use kar sakte hai. free service me aap 1 din me 10 se jada check nahi kar sakte hai.

semrush

Serplab.co.uk

Serplab Free Google SERP Checker ye bhi ek bahut hi badhya site hai. Serplab.co.uk par aap asani search engine me keyword kya position hai ketne number par hai check kar sakte hai.

Aur sabse achhi bat ye hai ke Serplab aapko bilkul free me keywords rank check karne ki service deta hai. sath me aapke elawa kiska position top par hai vo bhi show karta hai.

  1. Choose your region, me search engine select kare.
  2. Enter your domain name: apni site ya blog ka url enter kare.
  3. Enter your keywords: har box me alag alag word enter kare.
  4. I’m not a robot ko verify karke check SERP now par click kae.
  5. Left site me Result details option me apne blog ke keyword ka position dekh sakte hai.

Serplab Rank Checker

3. Search Engine Genie:

Google Position Checker Tool search engine genie ye bhi ek bahut hi badhiya or sahi result btane wali service hai. jo aapki post ya keyword ki google search engine me position bata hai.

  1. yaha par apni site ya blog ka url enter kare.
  2. jo keyword ki ranking aapko pata karni hai wo enter kare.
  3. aap jis country me ranking pata karna chahate ho wo country select kare.
  4. Solve This?= me jo captcha araha hai usse calculate kare.
  5. submit par click karne ke bad position dekh sakte hai

Search Engine Genie Google Position Checker Tool

4. SEO Centro:

SEOCentro Rank Checker par aap apne blog ka keyword ki ranking ke sath sath date, time or us word se related other keywords bhi pata chal jata hai.

but ye tools google, bing se jyada yahoo ke result show karta hai. so agar aapke search karte waqt google me  na mile to ghabrane ki jarurat nahi hai.

SEOCentro Rank Checker

5. Small SEO Tools:

SmallSeoTools bhi aapki site ke keyword ki sabhi position show karta hai. jaise agar aap apni kisi post title se related koi bhi words search karte ho to search engine me us keyword ranking se related jitne bhi word aapki site ke honge wo sab is tools se pata kar sakte hai.

Small Seo Tools

6. SERPs :

Serps free Keyword Rank Checker me aap desktop or mobile dono ke result check kar sakte hai. or is tool me country ke sath state sath zip code ki bhi service hai.

isme aap google or yahoo dono ke search result dekh sakte hai. bilkul small seo tools ki tarah isme bhi aapko keyword se related other result ki bhi jankari mil jati hai.

Serps fee Keyword Rank Checker

7. Online domain tools

Online domain tools Keyword Rank SERP Checker bhi aapki site ke keyword ki position batati hai. aur sath me aapke elawa dusre other blog ka bhi rank show kariti hai. Jisse aapko ye bhi pata chal jayega ke aap ke blog se pahle aur aapke blog ke badd koun koun site site rank me hai.

Online domain tools

8. Whats my serp Checker

Whatsmyserp Checker par aap multiple keyword ke sath multiple domain bhi check kar sakte hai. aur sath me agar aap apne post ka keyword Density check karna chahte hai to vo bhi dekh sakte hai.

whatsmyserp SERP Checker

9. Search engine reports

Google keyword position checker karne ke liye aap Search engine reports site ko bhi use kar sakte hai. is site me aap ki 1-50 tak ki google search rank reports dekh sakte hai.

search engine reports

10. Moonsy :

Moonsy Google position checker ye tool bhi bilkul google keyword rank checker ki tarah result show karti hai. or isse aapko post ke top keyword ka pata chalta hai. agar aapki post me top keyword hoga to hi ye tool result show karega. warna no result found error show hoga.

moonsy

In sabhi tools me se Semrush sab se best hai paid hai to kya hua par aap one month ke liye free me use kar sakte hai. uske bad aap Search Engine Genie Tool best lagta hai. kyuki ye tools current or better result show karta hai. baki aap sabko check kar sakte hai in me so jo aapko pasand aye usse use kar sakte hai.

I hope aapko is post se apni blog ki post ki keyword ranking janne me help mila ho. aur ab aap apna post likhne ke tarika me thoda bahut changing kar ne wale honge.

Related Articles

6 Comments

  1. Let’s put it simple: if you want to be successful online,

    you need targeted traffic, and the best way to drive targeted

    traffic to your pages is with good search engine rankings.

    However, if you want to generate traffic from the search

    engines, your pages must appear on the first results page

    for the keywords and phrases you target… (http://www.socialmonkee.com/ujs876)

  2. Let’s put it simple: if you want to be successful online,

    you need targeted traffic, and the best way to drive targeted

    traffic to your pages is with good search engine rankings.

    However, if you want to generate traffic from the search

    engines, your pages must appear on the first results page

    for the keywords and phrases you target… (http://www.socialmonkee.com/ujs876)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button