Axis Mobile Banking Se Money Transfer Kaise Kare [Add Payee Details]

How to transfer money from axis mobile banking to same & other banks account? Internet banking and Mobile Banking ek aisa service hai jiske through aap easily kisi bhi bank account me fund transfer kar sakte hai.

Kya aap ka Bank account axis bank me hai aur aap axis mobile banking se online money transfer karna chahte hai. To is article ko pura padhe, mai aapke sath share karne jaraha hun ke Axis bank to Axis bank & other bank me mobile se  money transfer kaise karte hai. and fund transfer karne ke liye beneficiary Payee add kaise kiya jata hai pure details ke sath.

How To Transfer Money From Axis Mobile Banking

Axis bank India ka popular bank me se ek hai. Axis bank India ka third largest sector bank hai. Bank ke paas 2,959 branches, 12,743 ATMs and nine international offices hai. and Private banking sector me Axis Bank sabhi bank ka leader hai

Axis to SBI, Axis to ICICI, axis to hdfc, Axis to PNB bank money transfer bhi hota hai. Axis mobile banking se India ke all bank me money transfer kar sakte hai. Ye feature sirf axis bank ke alwa SBI, PNB, ICICI, Bank of Baroda etc jaise bank me bhi hai.

Read Also:

Mobile Banking Kya Hai, Or Iske Kya Fayde Hai?

Mobile banking bank dawara chalaya gaya ek aisa electronic system hai jisko aap use karke aasani se bina ATM,/Debit/Credit cards, or Branch gaye kisi bhi other parson account me easily free me online paise bhej sakte hai.

Or yaha tak ki online shopping karna mobile recharge karna in sab ko mobile and net banking ke duwara online payment kar sakte hai. Iske sath apna account balance and transactions ki puri details bhi dekh sakte hai.

Internet and mobile banking ke waise to bahut sare faede hai par mai yaha aap ko kuch important advantage hi bataunga.

  1. Money Transfer :- Iska sabse badha fayda ye hai ki aap bina bank branch visit kiye kisi bhi account par online money transfer kar sakte hai.
  2. Transaction History :- Ye passbook ki free service bhi deta hai. Apke bank me debit credit transactions poora details net banking service se check kar sakte hai.
  3. Check Balance :- Normally bank balance check karne ke liye apko ATM ya bank branch me jana padta hai. Par aapke paas net banking ki service activate hai to aap gahr bethe apne bank account ka balance check kar sakte hai.

Ye mobile and net banking ke kuch basic advantages hote hai Jise aap ghar bethe asaani se internet ke dawara kar sakte hai.

Is post me axis mobile banking se fund transfer ke sath fund transfer charges, axis to axis bank transfer, axis to other bank fund transfer ke bare me baataya jayega. ke Kaise beneficiary payee ko mobile banking account me add karte hai. Fund transfer charges kitna hai. in sabhi baato ke bare me pure detail ke sath jaan sakte hai.

Axis Mobile Banking Se Money Transfer Kaise Kare

Kisi bhi bank me online fund transfer karne ke liye aapka net ya mobile banking activate hona jaruri hai. Agar aapka internet baking & mobile banking activate registered nahi hai to online money transfer nahi kar sakte hai.

Agar Axis mobile banking ya Internet baking register nahi hai to aapko parishan hone ki jarurat nahi hai aap apne Registered mobile number, customer id and ATM debit card se axis net baking activate aur mobile banking dono registration kar sakte hai.

Must Read..

Dosto mai manke chalta hun ke aapka Axis bank mobile baking activated hai aur aap online money transfer karna chahte hai. Axis and Other bank me fund transfer karne ke liye sabse pahle beneficiary payee add karna hota hai.

Uske bad hi aap fund transfer kar sakte hai, to chaliye sabse pahle jante hai ke Axis bank fund transfer karne ke liye payee beneficiary kaise add kiya jata hai.

Axis Mobile Banking Me Payee Beneficiary Account Detail Kaise Add Kare

Aap bena payee add kiye hue bhi 5000 Rs quick fund transfer kar sakte hai par agar aako jada bara amount transfer karna hai to uske liye payee beneficiary add karna jaruri hota hai.

Jab ek bar Beneficiary add karlete hai to to aapko dobara account details add karne ki jarurat nahi hoti hai, aap jab chahe aur jetna chahe money transfer kar sakte hai.

Step 1:

Beneficiary payee add karne ke liye sabse pahle aap Axis Mobile app application apne me open karke 6 digit mPin dal kar account me login kare.

Enter Axis Mobile mPin

Step 2:

mPIN dal kar Axis mobile baking account me login karne ke bad down left menu bar me aap Fund transfer tab par click kare.

Axis mobile app se Fund Transfer kaise kare

Step 3:

Fund Transfer tab par click karne ke bad beneficiary add karne ke liye ADD PAYEE tab par click kare.

Add Payee in axis mobile

Step: 4

Add payee tab par click karne ke bad ab ek popup open hoga jisme 3 options show hoga Axis Bank Customer, Other Bank Customer, and Mobile payee

  1. Axis bank account holder ko paise bhejne ke liye beneficiary add karna chahte hai to Axis Bank Account tab par click kare.
  2. Kisi dusre bank account holder ko money transfer karna hai to Other Bank Accounts tab par click kare.
  3. Ya aap mobile payee add karna chahte hai to Mobile Payee (P2P) par click kare.

Add Bank Customer

Step 5:

Ab aapko Payee Account details add karna hai, Aapne Axis Bank customer select kya hai to bas aapko payee name, account number and mobile number dalna hai.

Aur agar aapne Other bank customer select kiya hai to aapko Payee Name, Nickname, Account No, Mobile Number and IFSC Code etc details fill-up karna hai.

  1. Account No: Yaha Customer ka bank account number likhe.
  2. IFSC code hai to bank branch ka IFSC code dale, Agar aapke pass ifsc code nahi hai to Search. icon par click karke beneficiary account holder ka Bank, State, and city search karke branch select karle.
  3. Nike name: Account holder ka first & last name me se koi bhi nike name likhe.
  4. Payee Name: Account Holder ka pura name sahi sahi likhe.
  5. Mobile number: Account Holder ka mobile number dale..
  6. Email: Payee ka email id hai to dale nahi to blank hi rahne de.
  7. Aap chahe to apne payee ka yaha se Photo bhi add kar sakte hai, waise ye jaruri nahi hai.
  8. Sab details sahi sahi dalne ke bad ADD Button par click kare.

Payee Account Details

Step 6:

Account details dal kar ADD tab par click karne ke bad aapse payee details confirmation karne ke liye kaha jayega, ya aap Account number, Name, bank and branch wagairah check karke CONFIRM par click kare.

Payee Account Confirmations

Step: 7

Payee Account details check karke CONFIRM karne ke bad ab aapse mPIN enter karne ke liye kaha jayega, Axis mobile login mPIN dale.

Enter Axis Mobile mPin

Step: 8

6 Digit mPIN dalne ke bad ab aapke registered mobile number par 8 digit OTP code (One time password) message aya hoga OTP code enter karke continue kare.

Enter Activation Code

Congratulation OTP dal kar Continue karne ke bad Aapne fund transfer karne ke liye successfully beneficiary add kar liya hai ab aap asani se money transfer kar sakte hai. Abhi Paise transfer karna hai to PAY par click kare.

Your payee has been added

How to Fund Transfer From Axis Mobile in Hindi

Dosto aapne axis mobile banking se money transfer karne ke liye successfully beneficiary add kar liya hai. aur aap chahte to PAY par click karke abhi payment kar sakte hai.

Par mai aapko starting se bata hun ke Payee add karne ke bad mobile se paise transfer kaise kiya jata hai, pure details ke sath.

Step 1:

Payee Account details add kar lene ke bad Paise transfer karne ke liye left menu bar me Fund Transfer button par click kare..

Axis mobile app se Fund Transfer kaise kare

Step 2:

Fund transfer tab par click karne ke bad ab aapko Bank choose karna hai, aapne Axis bank account holder ka payee details add kya hai Axis Bank Customer tab par click kare. Axis ke elawa dusre bank ka payee details add kiya hai to Other bank Customer tab par click kare.

Axis mobile banking se paise transfer kaise kare

Step 3:

Axis ya other bank customer  select kar lene ke bad aapke screen par jetne bhi payee add honge sabhi ka account number and nike name show hoga.  Ap jis account holder ko Money transfer karna chahte hai uske name par click kare.

Select Payee account holder

Step 4:

  1. Amount: Jetna money transfer karna hai vo amount dale.
  2. Remark: Money kis Liye transfer kar rahe hai vo reason dale, ya srif From Self Account hi likh de.
  3. Payment options: Normal tarika se money transfe rkarna hai to (LETTER NEFT, INSTANT IMPS, STANDARD NEFT) method me se STANDARD NEFT tab par click kare.

How to transfer Money from Axis Mobile

  1. LATER, NEFT Option me 24 hours after Fund transfer yani 24 ghanta bad paise transfer hoga aur iske liye apko koi bhi fee denna nahi pdega.
  2. INSTANT IMPS method se 24*7 hour, holiday ke din bhi Quick fund transfer kar sakte hai. par isme Rs 2.50 se 25 tak service tax dena parta hai.
  3. STANDARD NEFT option me 24 hour ke ander paise transfer ho jayega aur isme aapko koi bhi fee dene ki jarurat nahi padegi.

Step 5:

Payment Amount and Remark dal kar aur payment option ko choose karne ke bad ab aapse payment confirmation karne ke liye kaha jayega. ek bar Amount and payee details check karke Confirm button par click kare..

Fund transfer Confirmation

Payee details and amount check karke CONFIRM karne ke bad ab aap axis mobile ka 6 digit mPIN code dale.

Enter Axis Mobile mPin

Success ! Your transfer has been initiated. mPIN dalne ke bad aapka fund transfer ho jayega screen short dekh sakte hai.

Axis Mobile fund Transfer Success

Congratulation aapne axis bank mobile baking se online successfully money transfer kar liya hai. aur is article se aapne ye bhi jan liya hai ke axis bank me mobile se payee beneficiary kaise add karte hai.

Dosto aapko ye jankari kaisi lagi agar aapka koi sawal hai to aap comment kar ke puch sakte hai, aur apne dosto ki help ke liye is article jarur share kare.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button