Axis Bank Net Banking Se Online Money Transfer Kaise Kare

How to transfer money from axis bank internet banking to same & other bank? Internet banking ek aisa service hai jiske through aap easily kisi bhi bank account me online money transfer kar sakte hai.

Kya aap ka account axis bank me hai aur aap axis net banking se online money transfer karna chahte hai. To is article ko pura padhe, mai aapke sath share karne jaraha hun ke Axis bank to Axis bank & other bank me online money transfer kaise karte hai. and fund transfer karne ke liye beneficiary Payee add kaise kiya jata hai.

Axis Bank Net Banking Se Online Money Transfer Kaise Kare

Axis bank India ka popular bank me se ek hai. Axis bank India ka third largest sector bank hai. Bank ke paas 2,959 branches, 12,743 ATMs and nine international offices hai. and Private banking sector me Axis Bank sabhi bank ka leader hai

Axis to SBI, Axis to ICICI, axis to hdfc, Axis to PNB bank money transfer bhi hota hai. Axis net banking se India ke all bank me money transfer kar sakte hai. Ye feature sirf axis bank ke alwa SBI, PNB, ICICI, Bank of Baroda etc jaise bank me bhi hai.

Read Also:

Internet Banking Kya Hai, Or Iske Kya Fayde Hai?

Internet banking bank dawara chalaya gaya ek aisa electronic system hai jisko aap use karke aasani se bina ATM,/Debit/Credit cards, or Branch gaye kisi bhi other parson account me easily free me online paise bhej sakte hai.

Or yaha tak ki online shopping karna mobile recharge karna in sab ko net banking ke duwara online payment kar sakte hai. Iske sath apna account balance and transactions ki puri details bhi dekh sakte hai.

Internet banking ke waise to bahut sare faede hai par mai yaha aap ko kuch important advantage hi bataunga.

  1. Money Transfer :- Iska sabse badha fayda ye hai ki aap bina bank branch visit kiye kisi bhi account par online paise transfer kar sakte hai.
  2. Transaction History :- Ye passbook ki free service bhi deta hai. Apke bank me debit credit transactions poora details net banking service se check kar sakte hai.
  3. Check Balance :- Normally bank balance check karne ke liye apko ATM ya bank branch me jana padta hai. Par aapke paas net banking ki service activate hai to aap gahr bethe apne bank account ka balance check kar sakte hai.

Ye net banking ke kuch basic advantages hote hai Jise aap ghar bethe asaani se internet ke dawara kar sakte hai.

Is post me axis net banking se fund transfer ke sath fund transfer charges, axis to axis bank transfer, axis to other bank fund transfer ke bare me baataya jayega. ke Kaise beneficiary ko net banking account me add karte hai. Fund transfer charges kitna hai. in sabhi baato ke bare me pure detail ke sath jaan sakte hai.

Axis Bank Net Banking Se Online Money Transfer Kaise Kare

Kisi bhi bank me online fund transfer karne ke liye aapka net banking activate hona jaruri hai. Agar aapka net baking activate registered nahi hai to online money transfer nahi kar sakte hai.

Axis Internet baking register nahi hai to aapko parishan hone ki jarurat nahi hai aap apne customer id and ATM debit card se axis net baking activate kar sakte hai.

Must Read..

Dosto mai a manke chalta hun ke aapka Axis bank internet baking activated hai aur aap online money transfer karna chahte hai. Axis and Other bank me online fund transfer karne ke liye sabse pahle beneficiary add karna hota hai.

Uske bad hi aap fund transfer kar sakte hai, to chaliye sabse pahle jante hai ke Axis bank fund transfer karne ke liye beneficiary kaise add kiya jata hai.

Axis Net Banking Me Beneficiary Account Detail Kaise Add Kare

Aap bena beneficiary add kiye hue bhi 5000 Rs quick fund transfer kar sakte hai par agar aako jada bara amount transfer karna hai to uske liye beneficiary add karna jaruri hota hai.

Jab ek bar Beneficiary add karlete hai to to aapko dobara account details add karne ki jarurat nahi hoti hai, aap jab chahe aur jetna chahe money transfer kar sakte hai.

Step 1:

Beneficiary add karne ke liye sabse pahle aap Axisbank.com par visit karke apne net baking account me login kare.

Step 2:

Axis net baking account me login karne ke bad top menu bar me aap PAYMENTS ka option dekh sakte hai. PAYMENTS par click karke Transfer funds par click kare.

How to Fund Transfer in Axis Bank Online

Step 3:

Agar aapne pahle beneficiary payee add kiya hoga to uska account details screen par dekh sakte hai,  No records fetches screen par show ho raha hai to iska malab apne abhi tak beneficiary add nahi kiya hai.

  1. Axis bank account holder ko paise bhejne ke liye beneficiary add karna chahte hai to Axis Bank Account hi select rahne de.
  2. Kisi dusre bank account holder ko money transfer karna hai to Other Bank Accounts par click kare.
  3. Aapne abhi tak koi bhi beneficiary nahi add kiya hua hai add karne ke liye Add New Payee par click kare.

Add new page

Step 4:

Add New Payee option par par click karne ke bad next page apko Payee Name, Nickname, Payee Register, Account No, Mobile Number etc detail fill-up karna hai.

  1. Payee Name: Account Holder ka pura name likhe.
  2. Nikename: Account holder ka first & last name me se koi bhi name likhe.
  3. Register Payee for: Other bank accounts & Axis bank account jiska add karna hai select kare.
  4. Account No: Yaha account number likhe.
  5. Confirm Account: Dobara Account number likhe.
  6. IFSC code hai to isse select kare nahi hai to Select branch option select karke. Bank, State, and city select karle.
  7. Sab sahi sahi dalne ke bad Proceed Button par click kare.

Enter beneficiary account details

Step 5:

Account details dal kar proceed karne ke bad Ab apke registered mobile number par ek Netsecure OTP code jayega usko enter karke confirm karna hai..

  1. I Have read Disclaimer & Accept all the Terms and Conditions ko tick mar kare.
  2. Aapke register mobile number par Netsecure OTP code aya hoga usse dale.
  3. Confirm button par click kare.

Confirm beneficiary details

Aapne fund transfer karne ke liye successfully beneficiary add kar liya hai ab aap 30 minutes ke bad Payee Account active ho jayega. Uske bad asani se money transfer kar sakte hai.

Axis bank beneficiary added successfully

How to Fund Transfer in Axis Bank Online

Dosto aapne axis bank online money transfer karne ke liye aapne successfully beneficiary add kar liya hai. ab jante hai ke axis bank se online money transfer kaise kartehai.

30 minutes ke bad jab aapka Payee Account active ho jaye to aap jab chahe Payee Account holder ko paise transfer kar sakte hai.

Step 1:

Payee Account active ho jane ke bad Fund transfer karne ke liye apne axis net banking account me login kare.

Step 2:

Account me login karne ke  bad top menu bar me PAYMENTS >> transfer Funds par click kare.

How to Fund Transfer in Axis Bank Online

Step 3:

Payments >> Transfer Funds par click karne ke bad Jis payee ko money transfer karna hai uska account select kare aur Being Payment option par click kare.

Begin Payment

Step 4:

  1. Debit account select kare
  2. 1 bar bhejna hai to One time select rahne de.
  3. Kisi aur date me bhejna chahte hai to date change kare, warna Same hi rahne de.
  4. Jetna money transfer karna hai vo amount dale.
  5. Money kis Liye transfer kar rahe hai vo reason dale, ya srif From Self Account hi likh de.
  6. Normal tarika se money transferkarna hai to (NEFT, IMPS, RTGS) method me se NEFT select kare.
  7. Mobile number dale.
  8. Email address  dal.
  9. Then Next par click kare.

axis bank fund money transfer kaise kare

  1. IMPS, NEFT method me Rs 2.50 se 25 tak service tax dena parta hai.
  2. IMPS method se 24*7 hour, holiday ke din bhi fund transfer kar sakte hai.

Step 5:

Payment details dal kar Next karne ke bad confirmation details check kar le, and I Have read Disclaimer & Accept all the Terms and Conditions ko tick mar kare. Aapke Register mobile number par one time password (OTP) code message aya hoga. OTP code ko dal kar Confirm button par click kare..

Axis bank se online money transfer kaise kare

OTP code dal kar Confirm karne ke bad aapka Axis net banking se fund transfer ho jayega. Fund transfer hone ke baad E-Receipt jarur save kare.

Success ! Your request for Fund transfer submitted successfully.

Your request for Fund transfer submitted successfully

Congratulation aapne axis bank net baking se online successfully money transfer kar liya hai. aur is article se aapne ye bhi jan liya hai ke axis bank me beneficiary kaise add karte hai.

Dosto aapko ye jankari kaisi lagi agar aapka koi sawal hai to aap comment kar ke puch sakte hai, aur apne dosto ki help ke liye is article jarur share kare.

Related Articles

2 Comments

    1. Mai Genesis ki magazine pro self customization theme use kar raha hun mai theme to de dunga par aapko customize karne me problem hogi ya aap bolye to mai magazine theme send kar dun

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button