WordPress kya hai – WordPress Full Information in Hindi

Hello Dosto, aap WordPress par Website/Blog banana chahte hai aur ye jannna chahte hai ke WordPress keya hai. to is post me mai aapko WordPress ka full information details ke sath batane jaraha hun, WordPress se related WordPress kya hai WordPress Ki basic Jankari in Hindi/Urdu.

WordPress kya hai WordPress Ki Puri Jankari

Agar aap Pahle se Blogging karte hai to aapne pahle bhi WordPress ke bare me jarur suna hoga. aur aapne ye bhi dekha hoga ke sabhi top blogger apne blog ko jada tar wordpress par hi Use karte hai.

WordPress kya hai Ki Puri Jankari Hindi Me

Agar baat kare ek naye blogger ki to har ek naya blogger apne blogging career ki suruwat Blogger.com se karta hai aur jab woh blogging me expert ho jata hai to woh apne blog ko WordPress par transfer kar leta hai.

bahut se top blogger WordPress ko blogger.com se badiya mante hai. kyu ke WordPress me bahut se aise feature hote hai jo ki blogger me nahi hote hai.

Agar aap naye hai aur aapko wordpress ke bare me koi jankari nahi to ye post aapke liye bahut hi helpful hoga kyu ke iss post me mai aapko wordpress kya hai iske bare me Bahut sari jankari details ke sath.

WordPress Kya Hai?

WordPress ek PHP aur MySQL based par open-source Content management system (CMS) hai. WordPress ko ek web host server me install kiya jata hai.

content management system (CMS) ek aisa software hota hai jo bahut sara data . ko apne andar store karta hai. WordPress do version me uplabdh hai jisme se ek free hai aur dusare par aapko web hosting ki jarurt parti hai.

WordPress ek bahut hi popular blogging platform hai jisko bahut si company apni official website banane ke liye use karti hai.

agar aap apne blog ko wordpress.com par banate hai to aapko iss par kisi bhi trah ka paisa invest karne ki zaroorat nahi paregi. mtlab ye hai ke ye 1 free service hai jaha aap apna blog bana sakte hai free me.

Aur agar aap apne blog ko WordPress.org par banate hai to aapko uske liye web hosting kharidne ki jarurt paregi. web hosting ke lye internet par bahut sari aisi company hai jo aap ke web hosting ka offer deti hai aap woha se web hosting kharid sakte hai..

WordPress Ke Features?

WordPress Me waise to Bahut sare Featurs hai mai kuch Featyrs ke bare me aap ko batata hu.

No.1 Plugins?

Plugins – ek programming ke dwara taiyar kiya hua ek software ki tarah hota hai. Jo WordPress ki functionality ko expand karta hai. WordPress plugins ko PHP programming language me banaya jata hai.

No.2 SEO?

SEO Friendly Permalink – Yah post ka URL set karne ke liye use hota hai. Isme aap chahe to blog ke URL ko alag-alag tarah se show kar sakte hai.

No.3 Theme?

WordPress Theme – Yah ek software ke tarah hi hai. jisse aap apne blog/website par upload karte hi apki puri website theme ke upar hi nirbhar karti hai aap apne website/blog ko jaisa luck dena chahe theme ke maddad se apne website ko apne hisab se jaisa chahe bana sakte hai.

aapko agar wordpress se related koi sawal puchna ho to comment jaroor kare.

Related Articles

13 Comments

  1. Bahut hi badhiya jankari di he aapne word press ke bare me aur ye kisi bhi nahe hinid blogger ke liye bahut hi upyogi hogi aur thank you and I will share this post.

  2. main WordPress me ek android article likha hu par mujhe isme category kiya likhu pata nahi chal raha hai aur tag kiya likhu wo bhi pata nahi chal raha hai isliye aap mujhe in sab chijo ke baare puchhna chahta hu
    1-kisi bhi article ya post me category kiya likunga acche example ke sath bataiye.
    2-kisi article ya post me tag kiya likhunga example ke sath bataiye
    3-category ke niche category description(optional) likha hua rahta hai isme kiske baare me likhung aur kiya likhunga.

    1. Category aur tags aapko WordPress, mobile Internet etc, dalna hai aur iss topics par jetne bhi posts lekhenge sabka ussi categories aur tags me dalna hai.
      Jaise aapne Android par article like hai to to is me 2-3 tags aur category use kar sakte hai 1 Mobile, 2 Android, 3 tips and tricks, etc.
      Same issi Tarah aap blogging par koi post likhte hai to usme bhi 2-3 category and tag use kar sakte hai WordPress, blogging, and blogger, etc.
      Yani aap kisi bhi topics par 2-4 posts likhte hai aur usme Jo common word ho usse use kar sakte hai

  3. Hello mai apne wordpress site me log in sign up plugin kaise lagaye jaisa ki Facebook flipkart etc jaisa ki koi visitor mere website par aayega to sabse pale sign up kare use baad mere website ka content media etc dekh sake

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button