WordPress Plugins Kya Hai, Aur Kaise Install Karte Hai

Hello Dosto, Aapne apna blog website WordPress par banaliya hai. Aur abhi tak aap ko Plugins ke bareme sahi se jankari nahi hai. to yaha ham jange ke WordPress Plugins Kya Hai Aur Isse Kaise Install Karte hai.

WordPress Plugins Kya Hai Aur Kaise Install Kare

Agar ham bat kare WordPress ki to isme plugins bahot hi jaruri hota hai. Yun samjhe ki iss ke bina wordpress adhura sa lagta hai. WordPress me itne jada features hai ke ham ab Blogsport blogger ko bhool gaye hai aur WordPress ko jada dheyan dete hai.

Is article me ham janenge ke plugins Kya hai, How to install, How to download, plugins kaise install kare or bahut sari jankari.

Bahut sare users isliye WordPress ka istemal karte hai. Kyuke WordPress plugins user friendly hai. Aap aasani se  isseko use kar sakte hai. WordPress users ko ye janana bahut jaruri hai ke plugins ko kaise istemal karna chahiye.

WordPress Plugins Kya Hai?

Ye ek programming ke dwara taiyar kiya hua ek software ki tarah hota hai. Jo WordPress ki functionality ko expand karta hai. WordPress plugins ko PHP programming language me banaya jata hai.

Jis tarah ham apne Computer me alag alag type ke software install karte hai. Thik usi tarah ham apne WordPress website me bhi ham isko install karte hai. Ye bhi computer software ki tarah  video editing, image editing, aur bhi software ke tah kam karta hai.

Kuch example aapko samjane ke liye.

  • Akismet:– Ye ek Aisa plugin hai jisase Spam Comments ko roka jata hai.
  • WP smush:- Ye  aap ke website ki image ko compress yani size ko chota karta hai.
  • Yoast Seo:- ye ek WordPress SEO plugin hai. Is ko use karke aap wordpress ki site ko asani se optimize kar sakte hai.

WordPress storage me Lakho plugins moujud hai joki alag future ke liye use kiya jata hai. Jaise SEO, Animation, Slider, Optimization, E commerce, Marketing or bahut sare future hai. Bat ko jada lamba na karte hue ab ham jante hai ke WordPress plugin ko kaise install karna hai.

How to Install WordPress Plugins?

Aap apne WordPress blog par 2 tarikon se isko plugin ko install kar sakte hai.

  1. Search karke Install kare
  2. Download kare , Or Upload karke Install Karke

Chaliye to ab ham 2 dono tarika  ko ek ek karke jante hai uske liye bas aap ko niche diyegaye Step ko follow karna hai.

Search Karke Install kare Plugins ko

Step 1:  

Search karke WordPress me isko install karna bahot hi asaan hai. WordPress aapko dashboard me isse install karne ki suvidha deta hai. yahi tarika apna kar aap ko apne wordpress blog me free plugins install karna achha rahega.

Uske liye aap sab se pahle apne wordpress dashboard jaye or  Plugins >> Add New par click button par kare. Example ke tor par niche diye gaye image ko dekhe.

how to install plugins in wordpress

Step 2:

Add new button par click karne ke bad aapke samne jo page khule ga usme right side top me search ka option hoga. Vaha par aap apne plugin ko search karke install now par click karke install kar sakte hai.

Example ke tour par abhi ham WP Super Cache ko install karrahe hai.

wordpress plugin kaise search kare

Step 3:

Installation complete ho jane ke bad aape samne Activate karne ka option show hoga. bas aap Activate button par click karke activate kar le.

wordpress plugins kaise activate kare

Step 4:

Activate karne ke bad aap all instated plugins folder me pahunch jayenge yaha se aap Settings par click kar ke isse customize kar sakte hai.

plugins activate hogaya

Note: – Agar aap koi bhi plugin install kare te hai to sabse pahle usko check kare ke aapke theme version ke sath compatible hai ki nahi vo dekh le. Uske sath uski Ratings bhi check kar le.

Agar ye 3 star ke upar hai to use aap use kar sakte hai. App uske More Details me jakar check bhi kar sakte hai.

Aap WordPress ki sabhi free plugins – https://wordpress.org/plugins Site se free me download kar sakte hai…..

WordPress Plugins Ko Download, Upload Karke Install Kaise Kare:

Bahut Sare premiums Plugins aise hote hai jo ke WordPress search area me nahi dikhate hai. Us plugin ko aap developer ki site se jakar zip format me download karna padta hai. Usko Download karke wordpress dashboard me upload karna padta hai.

Upload karke install kare plugins ko

Step 5:

Sabse pahle aap developer ki website me jakar plugin ko download kar lijiye.
Uske bad apne Dashboard me Plugins >> Add New par click kare or uske bad Upload Plugin button par click kare.

Uske Bad aap ko zip format, Plugin uploading karne ka option dekhaidega Choose File button par click karna hai.

wodpress plugins kaise upload kare

Step 6:

Choose File button par click karne ke bad aapki zip format me download ki hui plugin jis folder mai hai waha jakar usko select kare open button par click karna hai.

wordpress plugins zip upload kare

Step 7:

Jab aap open par click karenge to aap ke samne uska pura name .zip format me show hone lagega uske bad aap ko Install Now button par click karke isse instal kar lena hai .

plugins install kare

Step 8:

Ab aap ke samne plugin install successfully ka message ajayega aap isse abhi activate karna chahte hai to Activate par click karke Activate karle.

plugin activate kaise kare

To dosto aapne dono tarika janliya wordpress plugins ko install karne ka. Ab ham janlete hai ke apne purane plugins ko kaise update kare.

How To Update WordPress plugins: Plugin kaise Update kare:

Computer software ki tarah isko bhi updated rakhna bahut jaruri hota hai. Jab bhi developers company apne plugins me ko new features Add karti hai ya usme koi changing kari hai to uska new version banti hai.

Or WordPress ke taraf se hamare Dashboard me Warning ajata hai ke aap apne plugin ko updates karle uske liye hame red color ka signal bhi milta hai. Or hame isse updates karlena bhi chahiye isse hamare Website ki Performance best ho jati hai.

WordPress me isko update karna bahot hi asan hai. Uske liye aap apne Dashboard >> Update section me jakar jis plugins ko update karna chahte hai select karke “Update Plugins” button par click karke sare plugin ko 1 click me update kark sakte hai.

wordpress plugin ko kaise update kare

Step 9: 

Dusre tarika me aap Plugins >> Installed Plugins section me jakar ek ek karke sare plugins ko update kar sate hai.

Installed Plugins section me jane ke bad jo bhi updating waala plugin rahega usme Warning message aya hua hoga or likha hua hoga ke aap ka plugin new version me available hai bas aap Update now button par click karke isse updates kar lena hai.

how to update plugins

To Dosto aapne isse Updates karna bhi janhi liya agar aap ko koi problems horahi hai ya or koi sawal hai to aap comments karke puchh sakte hai.

Ye Bhi Padhe……

Related Articles

5 Comments

  1. Bhai free WordPress website ke liye ye kam nahi karega kiya. .. mene abhi hu website banai hai WordPress par or muje kuch jaruri plugin lagane hai so me kese karu…
    Plss help me

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button