Web Hosting Kya Hai Aur Kaha Se Kharide – What is Web Hosting In Hindi

Web hosting kya hai, what is web hosting in hindi, web hosting kya hota hai, hosting kaha se kaise kharid na chahiye, Web hosting service aakhir hai kya or website banane ke liye hosting ki jarurat kyu padti hai”, WordPress par blog banane ke liye hosting kyu jaruri hai. Is article me ham in sawalo ke jawab pure details ke sath jange.

What is web hosting service

Website or blog dono ko chalane ke liye hosting ki jarurat padti hai. Agar aap ye janna chahte hai ke hosting kya hai or ye kaam kaise karta hai. Aur Website blog ke lie hosting ki jarurat kyo padti hai.

To iske liye Sabse pahle aapko internet kya hai or internet kaam kaise karta hai, ke bareme janna jaruri hai. Kyuk internet ko janne bena aapko web hosting ke bareme achhi tarah samjh me nahi ayegi.

Internet Kya Hai

Internet ko interconnected network. Interconnected kaha jata hai, yani Internet duniya bhar me mojud ek dusre se jude huye computers ka jaal hai. Internet ka matlab hota hai ek dusre ke sath judna.

Mobile se lekar computer tak sab internet se jude hue hai. aapne agar kabhi kisi company me dekha huga ke bahut sare computer ko ek dusre se connect link kiya hua rahta hai.

Jab aap kisi dusre computer users ke sath apne computer me se information ya data receive or transfer karte ho to aap dono ka aapas me ek chota sa network ban jata hai. Ise bhi aap internet kah sakte hai. Isi tarah jab aap do mobile ko bhi connect karoge to wo bhi internet ka hi hissa kahlayega.

Aaj ke is dour me internet ne itni jada tarakki kar li hai ke duniya bhar me arbo kharbo Billions of computers ek dusre se link juda huye hai, Jinki aap ginti bhi nahi kar sakte.

Isi liye internet ko ek jaal bhi kaha jata hai. Par internet ke thorough sare computer ek dusre se jude hone ka ye matlab nahi hai ke aap dusre user ke computer ki information ko dekh le. kyuki sab computer me personal information secure hoti hai. But agar aap chahe to apne marzi se apne computer ki information dusro ke sath bhi share kar sakte hai.

Iske liye bahut se software ban gaye hai. jisko use karke aap kisi dusre computer ki details dekhne ke sath sath us par kaam bhi kar sakte hai. or bhi bahut sara kam ek computer se dusre computer me kar sakte hai yani apne computer ko use karke kisi dure computer ko bhi chala sakte hai.

To dosto ab aapko ye to pata chal gaya hoga ki internet ek dusre computers ko connect karne ka jarya hai. ab aapko hosting kya hai ke bare me puri tahah samjh ajayegi. To chaliye ab jante hai ke web hosting kya hota hai.

Web Hosting Kya Hai – What is web Hosting in Hindi

Basically, Web Hosting ka Matlab aap ki Website ko Internet par host karna hota hai. Web hosting ek aysi service hai jo aapke websites ki organizations and individuals information (post, pages images, and other files) ko internet par allow karti hai. Website ko internet par chalane (view) karne ke liye ek web host ya hosting provider ki jarurat hoti hai. Jo aapki site ke posts, pages, images, videos, or files ko internet par show karta hai.

Jab aapki website hosting ke thorough internet par show hoti hai to usse internet par show karne ke liye koi inshan nahi hota hai. ye kam automatic hota rahta hai. yani ye internet ka ek aysa computer hota hai jo 24×7 har time work karta hai chalu rahta hai.

Aur Is online computer me aapki site ka sara data stored or hosted rahta hai. Jisse Jab bhi koi aapke site ko open karta hai to ye computer aapki site ke information ko user ke computer me open karta hai. Is computer ko hi server kahte hai. Or ye users tak data pahuchane ka kaam jitna teji se karta hai use server speed kahte hai.

Jab koi user aapki website par koi jankari dekhna chahata hai to wo us jankari ka address yani URL apne computer ke internet browser me open karta hai. jab Users aapki site ke url open karne ke liye browser me type karta hai to uska computer aapki site ke server ko iski notification bhejta hai or aapka server ise suchna ko padh kar use wo janakri upload karata hai jiska usne apne browser me link type kiya tha.

Aapke host me uske link par jobhi jankari yani posts, pages, images, videos, software, ya jo bhi files hoti hai vo user ke browser me show hone lagta hai, or ye kam etna jaldi hota hai ke aap sonch bhi nahi sakte hai.

Web hosting ko aap simple youn samjh sakte hai, Jis tarah aapke computer me hard disk or mobile me memory card hota hai, or usme apna sara data store kar ke rakhte hai, jaise images, videos, documents, ya jo bhi files software etc, or har chij ke liye alag se ek folder bana ke rakhte hai.

Thik ussi tarah Hosting me bhi apna sara data online server par store karke rakha jata hai, chahe aap usme jobhi images, photos, videos, software, files, etc ko rakhna chahe. or har file ke liye alag se ek folder hota hai, jisse server address kahte hai.

Jis tarah computer mobile se hame hard disk memory card me stored file documents ko dekhne padhne ke liye us folder me jakar file ko open karne ki jarurat hoti hai. Thik usi tarah web hosting me bhi server address name dal kar us file ko open kiya jata hai.

To friends ab aap jan gaye honge ki hosting kya hota hai or ye kaam kaise karti hai. Yani aapki website ka all data hosting company ke pas save rahta hai. Or jab aap site ko open karte hai to hosting server aapko wohi page dikhata hai jo aap dekhna chahate hai.

Website Blog Ke Liye Hosting ki Jarurat Kyu Hoti Hai?

Upar btayi gayi bato se aapko aasani se samajh me agaya hoga ke web hosting kya hai or website ke liye hosting ki jarurat kyu hoti hai. Agar aapko nahi samjh me aaya to don’t worry yaha ham iske bare me bhi achhi tarah samjh lete hai ke akhir website ke liye web hosting ki jarurat kyu hoti hai.

Jis tarah computer mobile me kisi file ko store takhne ke liye hard disk memory card ki jarurat hoti hai, ya youn kahe ke jis tarah aapko rahne ke liye ghar ki jarurat hoti hai, same wese hi website ka data store karne ke liye hosting ki jarurat padti hai.

Web hosting Memory Card ki tarah hoti hai jisme hum apni site ka all data host kar sakte hai. thik aise hi jis tarah aap memory card, hard disk me apne images, videos, music or movies ko store karke rakhte hai.

Website ke data ko host karne ke liye humare pas puri suvidha uplabad nahi ho sakti hai. Isliye hume dusri companies se hosting lene ki jarurat padti hai.

Aur jab ham kisi company ka hosting bay kar lete hai to usme apne website ke liye jo bhi data upload karne ki jarurat hoti hai usse online server par host karle te hai.

Agar kinsi karan se aapki site delete ho jaye to aapko hosting site par uska backup asani se mil jatahai. bahut sari company aapke website blog ko free me bhi host karne ki sowidha deti hai par aap usme post content likh sakte hai, or srif images hi upload kar sakte hai.
Free site use karne ke liye aapko uske hisab se chalna hota hai, par jab aap web hosting kharid te hai to usme apne marji se use kar sakte hai, or jo file upload karna chahe kar sakte hai, Is liye website blog ke liye hosting lena jariru hai.

Starting ke aapki site par jyada traffic nahi hota hai. aur aapko jada data use karne ki jarurat nahi hoti hai So ayse me aap kam paiso se hosting kharid kar apni site bana sakte hai.

To ab aapko web hosting ke bare me to sabkuch samajh me aa gaya hoga. So ab hum bat karte hai ki hositng kaha se or kaise kharide.

Hosting kaise kharide or Konsi Comapny Se Kharide

Aap jis company se bhi apni website ke liye hosting kharidte hai. Us par aapki site host hoti hai or wahi aapki site ka server hota hai. Is ke liye aap apne hisab se kitni bhi jagah store kharid sakte hai. Ye MB, GB me milta hai.

Mai aapko suggest karunga ki aap unlimited bandwidth or unlimited storage wali hosting hi kharide. Jisse aapko future me koi problem na ho. Or sabse jaruri bat jab aapki site par jyada reader aate hai to kam bandwidth hone par aapki site slow ho jati hai. Isiliye unlimited plan hi choose kare.

Jin company ke pas 24×7 support or website ko host karne ki puri suvdha hoti hai. Wo sal ke hisab se kuch charge par hosting provide karti hai. Isse un companies ko bhi benefit milta hai or hume bhi kam paiso me hosting mil jata hai.

Internet par web hosting provide karne wali bahut sari companies hai. But unme se kuch hi hai jo better service provide karti hai. Example hostgator bluehost or godaddy sabse jyada popular or behtar service dene wali hosting companies hai. Or sabse achi bat ye full time active rahti hai.

Yaha mai aapko kuch bate bta raha hu jinhe follow karke hi aap kisi bhi company se hosting kharid sakte hai:-

24×7 Support: Aap jis company se hosting kharid rahe ho wo 24×7 support karti ho. Customer Care: Hosting website par customer care aapki language support karta ho. Jaise aapko kabhi koi problem ho to aap customer care ko call karke help le sake.

Disk Space: Aapko kam paiso me achi hosting mil rahi ho. Jaise unlimite storage, unlimited bandwidth, unlimited domain or unlimited email address.

Better Service: Hositng wali site better service provide kati ho. Is time hostgator bluehost or godaddy sabse better hai. Up Time: Aapko hosting company se achi speed mil rahi ho. Yani aapki website fast loading ho or teji se page open ho.

Agar aapka Hindi blog hai ya aapka visitor sabse jada India se hai to aapko India se hosting lena better rahega. kyu ki jab aapke hostng ka ka server aapke country se jetna dur rahega, website ko access karne me utna hi time lagega. jisse speed ka problem hota hai.

Aur jab aap india ke web hosting provider company se hostng kharidenge to aapko paise pay karne me bhi jada problem nahi hogi aap asani se ATM Debit card, internet baking ke jarye paise pay kar sakte hai.

Agar aap mujhse iske bare me puchoge to mai aapko hostgator india, bluehost india ya godaddy.in ke liye suggest karunga. Or aapka ke website par pure world se visitor atate hai to hostgator world, bluehost world or godaddy.com se kharid sakte hai.

Inke alawa bhi bahut si sites hai. But mai aapko inke liye isliye kah raha hu kyuki ye sabse jyada popular hai or better services provide karti hai.

Web hosting kitne prakar ke hote hain – Types of Web Hosting

Aapne to jan liya ke web hosting kya hai ye kaise kam karta hao or hosting kaise kharideab ye bhi jan lete hai ke ye ketne tarah ka hota hai. Waise Web hosting bahut sare parkar ke hote hai par jo sabse jada use kiya jata hai wo web hosting 3 tarah ke hote hai.

  1. Shared web hosting
  2. VPS (Virtual Private Server)
  3. Dedicated hosting

Shared Web Hosting

Jab ham ghar se bahar job karte hai ya kahi padhai karne ke liye jate hai to ek room keraya par lete hai or usme bahut sare dost ek sath rahte hai, yani share pe room lete hai.

Same waise hi shared web hosting hota hai or isme ek hi server par bahut sare website ke file ko ek server computer me store yani host kiya jata hai. isliye is hosting ka name Share rakha gaya hai.

Shared web hosting unlogo ke liye badhya hota hai, jo abhi abhi new blog website banaye hai, kuy ki ye hosting sabse sasti hoti hai, aur monthly 1 lack visitor tak isme koi problem nahi ata hai. par jab 1 lack se jada visitor hojata hai to isme bahut sare websit ek sath host hone ki wajah se shared hosting ka speed solow hojata hai.

Thik waise hi jis tarah computer me jada file kholne par computer ka CPU RAM chota hone ki wajah se speed kam hojata hai or computer hang hone lagta hai.

VPS Hosting

VPS hosting ek hotel ke room ki tarah hota hai, jaha par jetne dino ke liye room book kiya hai us room ke sare chijo par srif aapka hi hak hota hai. aur isme koi bhi share nahi hota hai. VPS hosting me visualization technology ka use kiya jata hai.

Jisme ek strong or secure server ko virtually alag alag hisson me divide kar diya jata hai, par har ek virtual server ke liye alag alag resource use kiya jata hai jise aapki website ko jetna resource karne ki jarurat hoti hai wo usse utna hi use kar sakta hai.

Yaha aapke website data ko kisi dusre site ke share karna nahi padta hai or aapki site ko best security and best performance milta hai.

Ye hosting thoda costly hota hai or jada visitor wale website ke liye ye best hai. agar aapke blog par monthly 1 lack se jada traffic hai aur aapki site par speed ka problems rahta hai to VPS hosting use kare.

Dedicated Hosting

Jis tarah Shared hosting bahut sare website ek hi server me rahta hai,  dedicated hosting uska pura ulta hota hai. isko aap youn samjh sakte hai jaise aapka apna bara sa ghar hai aur usme aap kisi dusre wekti ko nahi rakhte hai aur us ghar ko chalane ki sari jimedari srif aapki hi hoti hai.

dedicated hosting ka kam same aise hi hota hai. Dedicated hosting me jo server hota hai vo srif aur srif ek hi website ke liye hota hai. or usme srif ek hi website ka data files store hota hai.

is server par ek hi website hone ki wajah se ye server bahut fast hota hai. Par ye hosting bahut mahgi hoti hai, kyuki is server ka pura kharcha srif ek hi aadmi ke jimme hota hai, isliye Dedicated hosting mahgi hoti hai.

Ye unlogo ke liye hota hai jinki website par monthly jada visitor aate hai or bahut traffic rahta hai, aur jinke website se jada paisa incoe hota hai. bahut sare e-commerce site jaise Flipkart, Amazon, Snapdeal dedicated hosting ka hi istemal karte hai.

Linux vs Windows Web Hosting

Hostiing kharidte samai aapke pass do options hote hai ek Linux hosting dusra Windows hosting. Linux se mahga windows hostting hota hai.

Linux ek open source operating system hota hai. isliye isse use karna aasan hota hai.
Aur isse use karne ke liye hostings company ko paise dene nahi pardte hai isliye ye sasta hota hai.

Par windows ke liye license lene ki jarurat hoti hai license ke bhi paise company ko dene padte hai. isliye ye mahga hota hai. dono ka server bahut badhya hota hai, par windows ko Linux se jada secure mana jata hai.

Aap jada tar blog website ko linux ke server par hi paenge kyuki ye windows se sasta hota hai, or isme windows se jada features bhi milta hai. Windows hosting ko use karna bhi asan nahi hota hai.

I hope ke aapko web hosting ke bare me ye jankari achi lagi aor aapko ye post pasand aya to ise social media par share karke other blogger ki help kare.

Ye bhi Padhe..

Related Articles

6 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button