Swift Code Kya Hai Bank Ka BIC Code Kaise Pata Kare

What is SWIFT (BIC) Code, Swift code Kya hai, BIC Code Kya hota Hai Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare ,

Doston is article me mai aapke sath bank se judi bahut hi important information Share karne jaraha hun, SWIFT Code ya BIC Code kya hota hai , Or agar aapko kisi bank ka SWIFT Code pata karna hsi to kaise pata karte hai ke bare me.

WHAT IS BANK SWIFT CODE

Agar aap internationally ek bank se dusre bank me paise send  ya receive karna chshte hai to SWIFT Code ki jarurat padti hai.

Par kai bar IFSC Code (Indian Financial System code) ki bhi jarurat padti hai agar india me paise ko ek bank se dusre bank me transfer kar rahe hai to.

Agar aap ek blogger ya youtuber Hai aur aap Google Adsense use karte Hai to aapko apne Bank ka Swift code Pata hona Jaruri Hai. Kuki Google Adsense direct bank account me wire transfer karta hai.

Aur aap agar Indian Hai to Google Adsense se direct Bank account par paise lene ke liye adsense account me apni bank details ko submit karni parti hai, Jisme aapko apne bank account ka SWIFT Code and IFSC Code bhi deni hoti hai.

AdSense ke elawa aur bhi bahut sari jagah SWIFT Code ki jarurat pad sakti hai .

To chaliye sabse pahle jante hai ki SWIFT Code Hai Kya. or uske baad janege ki Kisi Bhi Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Karte Hai.

SWIFT – The Society for Worldwide Interbank Financial Telecommunication , SWIFT Code ko dusre namo se bhi jana jata hai jaise – SWIFT ID, SWIFT-BIC ya BIC Code . SWIFT Code ek standard format hai Business Identifier Codes (BIC) ke liye jise approve kiya hai International Organization for Standardization (ISO) ne. SWIFT Code or BIC codes same hi hai.

SWIFT Code ek unique identification code hota hai, Jiska use banks me money transfer ke liye kiya jata hai .

Zeyadatar SWIFT Code ka use internationally paise ko wire transfer ke liye kiya jata hai. Iske sath sath is code ka use banks ek dusre ko messages karne me bhi karte hai kuki ye code sab banks ka alag alag or unique hota hai . Ya aap kah sakte hai ki is code se aap banks ko identify kar sakte hai .

SWIFT Code ki madat se bank name, bank location , branch in sab ki jankari mil jati hai. Is liye jab other country se money transfer karne hote hai to SWIFT Code ki jaturat parti hai , kuki SWIFT Code se unhe sab information mil jati hai , ki kon sa bank hai , location etc ..

To simple aap itna jaan lijiye ki SWIFT Code ka use money transfer me kiya jata hai .

SWIFT Code me 8 ya 11 digits ke code hota hai . SWIFT Code ka ek simple example aap niche image me dekhe sakte hai .

What is a SWIFT BIC code

SWIFT code Example

  • SBIN IN BB 550 (Example)
  • SBIN – Bank code (SBI)
  • IN – Country Code
  • BB – Location Code
  • 550 – Branch Code (New Delhi, Delhi)

BIC SWIFT Code me 4 part hote hai , jisme bank ki information hoti hai

  1. Start ke 4 letters Bank short name
  2. Next 2 characters Country Code Country short name .
  3. Next 2 characters Location Code
  4. Last 3 characters Branch Code.

Mujhe lagta hai ki ab aap jaan gaye honge ki ye SWIFT Code kya hota hai .

To Chaliye ab jaante hai ki Aapko yadi kisi bank ka SWIFT Code pata karna ho to vo aap online ghar baithe kaise pata kar sakte hai.

Bank Ka SWIFT Code Pata karne ki Internet par aapko bahut si website mil jayengi, Jin se aap apne bank ke SWIFT Code ka pata laga sakte hai.

Aap jis website ka use karke SWIFT Code pata karenge uska name hai –
www.onlineifsccode.com. Is website ka use karke aap Banks ki or bhi details ko nikaal sakte hai , Lakin abhi hum Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Karte Hai Vo janege .

Swift Code kaise Pata kare

Bank ka Swift code Aap Online Website Se bilkul asani se pata kar sakte hai, online SWIFT code pata karne ke liye Niche bateye steps ko Follow kare

  1. Sabse pahele aap onlineifsccode.com Website par visit kare.
  2. Bank Name Select kare [ Jis bank Ka SWIFT Code pata karna Hai]
  3. State Select kare
  4. City Select kare
  5. Branch Select kare
search bank branch Swift/BIC code

Bank, state, City, Branches select karne ke bad Ab Aapke samne bank branch SWIFT code Ki Sari Details ajayegi yaha aap Bank name, Swift BIC Code, Branch Code, State city etc.. sab check kar sakte hai.

 Find Bank SWIFTcode BIC Code

Note: Sabhi Banks ke sabhi branches ka abhi tak swift BIC code generate nahi kiya gaya hai. aapko apne branch ka Swift code nahi mile to aap head office branch ka SWIFT BIC Code use kar sakte hai.

www.onlineifsccode.com par visit karke aapko apne bank branch ka Swift code milhi gaya hoga, aur aap ye bhi jan chuke hai ke Swift code kya Hota hai Or BIC code kaise pata kare Agar Aapko Apne Bank Branches ka SWIFT code nahi milta hai To Aap State ya City ke Head Branch SWIFT code use skate hai. Par ek bar Branch se verify kar le.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button