SBI ATM Machine Se Mobile Number Change/Register Kaise Kare

How to change mobile number in sbi atm machine. Hello dosto kya aap apne SBI bank account ka mobile number change/register karna chahte hai ATM machine me jakar. To is article ko pura padhe is post me mai aapko batane jaraha hun ke SBI atm machine se mobile number change/register kaise karte hai in Hindi/Urdu.

how to change/register mobile number in sbi through atm machine

Isse pahle mai aapko bata chuka hun ke net banking ke through SBI registered mobile number online change kaise kiya jata hai ke bare me.

SBI ATM Machine Se Mobile Number Change/Register Kaise Kare

Bestially jab state bank of India ke new customer  ATM machine me apna SBI bank account ka mobile number change ya register karne ke liye jate hai.

Aur ATM machine me apna ATM/Debit card dal kar mobile number badalna chahte hai to unhe kafi sari parishani ka samna karna parta hai.

Ya unhe mobile number change registration karne ka option samajh me nahi aata hai ke, kaise SBI bank account ka mobile number change/register kare.

Ab aapko parishan hone ki jarurat nahi hai is article ko follow karke aap aasani se apne SBI account ka mobile number change/register kar sakte hai bilkul aasani se.

How to Change/Register Mobile Number in SBI ATM Machine

Step 1: Mobile Registration

Sabse pahle aap kisbi SBI ATM machine me jakar apna atm card enter karke nikal le. jaise hi apna atm debit/visa card dal kar nikalenge, Screen par bahut sara options aajayega usme se aapko Mobile Registration option select karna hai. “MOBILE REGISTRATION” button par click kare.

registration mobile number in sbi atm machine

Step 2: Enter ATM Pin

Mobile registration option select karne ke bad next screen me apna 4 digits ka ATM pin code dal kar “Continue” button par click kare.

SBI ATM PIN number dale

Step 3: Mobile number Registration

PIN code dal kar continue par click arne ke bad next screen me yaha aapko bahut sare options dekhne ko milenge inmese aapko Mobile number Registration option select karna hai. “MOBILE NUMBER REGISTRATION” button par click kare.

SBI Mobile number change/Register

Step 4: Change mobile number

Next screen me ab aapke samne 2 option show honge 1 “New registration“, 2 “Change mobile number“,

  1. agar aap SBI bank account me apna mobile number register karna chahte hai to NEW REGISTRATION select kare.
  2. SBI mobile number change karne ke liye CHANGE MOBILE NUMBER select kare.

how to change/register mobile number in sbi through atm

Step 5: Enter mobile number

New registration and change mobile number karne ke in dono option me se jo bhi option select kiya hai. Uske bad next screen me aapko apna mobile number enter karna hai.

  1. Apna mobile number dale.
  2. Correct button par click kare.

Enter your mobile number

Step 6: confirm mobile number

Mobile number dar kar CORRECT button par click karne ke bad next screen me mobile number confirm karna hai. dobara mobile number dal kar CONFIRM Button par click kare.

confirm mobile number

Confirm button parclick karne ke bad ab aapke screen par you have successfully update your mobile number ka message aajayega.

Yani aapne apne SBI bank account ka ATM machine se successfully mobile number change/Register kar liya hai. Kuch samay baad aapke New Mobile par confirm message receive hoga.

ATM mechine se sbi mobile number registration change kaise kare

Dosto aapne ketne asani se atm machine ke through state bank of India bank account ka mobile number change/register kar liya hai.

Agar aapko ye jankari pasand aayi to apne doston tak isse share karna na bhule jaise Facebook, twitter, google+ etc.. par. Aur aapka koi sawal hai to comment karke puchh sakte hai thanks.

Related Articles

29 Comments

  1. Maine atm me poori process ki poori details sahi thi dono mobile number bhi mere paas hi the to fir ATM machine ne process decline kyun kar di?
    Kya aap jald hi reply kar sakte h

      1. MERE 2 MOBILE NO BANK MEIN DIYE HUYE HAIN
        1) JISMEIN SMS ATA HE
        2) YE OTP KE LIYE HE

        JISMEIN SMS ATA HE WO NO. BAND HO GAYA HE ISHILIYE MEIN ADHAR SE ACCOUNT NO LINK NAHI KARWA PA RAHA HUIN KYA ATM MACHIN SE SMS WALA NO. CHANGE HO SAKTA HE YA MUJHE BANK SE HI KARWANA PADEGA

  2. PURA PROCESS HONE PAR ONE MESSAGE AAYA HAI JISME LIKHA HAI REF NO. FOR MOBILE NO. REGISTRTION IS ————- OUR CONTACT CENTRE WILL MAKE VERIFICATION CALL IN 3 DAY.
    USKA KYA KARE

      1. Mera sbi me account hai account open karte samy jo no diya wo mere naam se nahi tha phir baad me mai bank gaya ek no badlne ke liye form fill karke diya sbi staff bola apka no change ho jayga but nahi hua aur pehle wale no pe bhi massage aana band ho gaya filhal wo dono no mere pass nahi hai to kya aap bata sakte hai ke mai apna no change kar sakta hu ya nahi kya purane no par otp ayega plz reply zarur kijiga Sukriya

  3. Hamara mobile number atm machin ke dvara add keye lekin aaj 3 din ho gye debit card se online payment nahi ho raha he

  4. sir , mera registered mobile no. curie hoke koi dusra use krrr rha hai, hmko new no. add krna hai atm through ho jayega

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button