Android Mobile Me Screenshot Kaise Lete Hai Jane Hindi Me

Mobile me screenshot kaise lete hai. Hello dosto kya aap janna chahte hai ke, Android mobile me screen shot aise lete hai. Is article mai aapko android phone me screenshot lene ka tarika batane jaraha hun pure details ke sath, mobile me screenshot kaise le.

Android Mobile Me Screenshot Kaise Lete Hai

Aaj kal Android mobile ka dour hai, ab har kam aap asani se kar sakte hai. Jab ham apna koi blog website banate hai, or uske liye hame computer, laptop ya mobile phone kisi part ka image capture bana kar upload karne ki jarurat hoti hai.

Ye kam ham screen shot ke madad se kar sakte hai. agar aap blogging karte hai or uske liye computer laptop me kisi impotent part ya page ka, screenshot lena chahte hai to iske bare me mai pahle bata chuka hun uske liye aap ye post follow kar sakte hai.

Most read:-  Computer / Laptop Me Screenshot Kaise Lete Hai (5 Tricks)

Mobile me Screenshot lene ka kaam kai bar padta hai par iski jankari na hone ki vajah se hume kafi parishani ka samna karna padta hai. or aap apne Android mobile ki screen ko capture nahi kar pate hai.

Android Mobile Me Screenshot Kaise Lete Hai Puri jankari Hindi me?

Android phone me screenshot lene ke kai sare tarika hai . Ye depend karta hai ki aap kis company ka kon sa phone use karte hai. or android ka kon sa version aapke mobile phone me hai.

par yaha par me aapko kuch simple tarika batane jaraha hun jisse aap follow karke asani se apne mobile ke kisi bhi part ka shot le kar images bana sakte hai. or ye tarika lagbhg sabhi mobiles me kaam karta hai.

Or agar aapke mobile me ye tarika sport nahi karta hai to iske liye aapko play store par bahut sare free apps bhi mil jayenge. jisse use karke asani se mobile ke screen ko capture kar sakte hai.

Yaha mai aapko 2 method batane jaraha hun 1 bena kisi apps ko use kiye hue direct apne phone ke button ko press karke, or 2 android apps ka istemal karke.

1# button ko press karke screen shot lene ka tarika.

Mobile phone me screenshot lene ke leye simple aapko  2 physical button ko ek saath dabana padta hai 2 ya 3 seconds ke liye.

Agar aapke phone me Android 4 ya use uper vala version hai to aap screenshot lene ke liye apne phone ki Power /Lock button or Volume Down key button ko ek sath 2-3 seconds ke liye daba kar rakhe, Screenshot ho jayega.

Simple jis file page ka screen shot lena hai usse open kare, uske bad Power button and Volume key Down button, ko ek sath 3 second tak dabaye press karke rakhe. Bus aapke file ka image banga hai.

Yani aap ko Mobile phone ke Power Button aur Home Button ko ek sath 3 second tak dabake rakhna hai, (Power Button jisse daba kar phone ko switch off karte hai)

Dono button Dabane ke bad apko ek Notification ayega “Screenshot Captured”  ya flexing effect show hoga bus aap samjh jaye ke aapke page ka screenshot ho gaya hai.

Aur Phone Memory me Shave ho gaya hai, ab aap Gallery ya media library open karke aapne jis part ka image banaya hai usko dekh sakte hai.

mobile me screenshot kaise le

Samsung mobile me screenshot kaise le:

Agar aap Samsung mobile use karte hai to, “Power + Home Button” or “Power + Volume key Down button” Ye do system se aap apne Samsung mobile phone me screenshot le sakte hai.

Agar aap Samsung ka latest version use karte hai to aapko Volume down and Power button ko press karna hai. or agar aap 4.2.2 android mobile user hai to aapko Power and Home button ko ek sath press karke apne Samsung mobile ka screenshot lena hai.

Screen shot lene ke lye sabse pahle aap apne mobile me vo page part ko open kare jiska shot lena hai. Uske bad Power Button + Home Button ko 3-5 second tak press daba karke rake. is tarah aapke Samsung mobile me bhi screen shot le sakte hai.

samsung mobile me screenshot le

2# Android apps se screenshot lene ka tarika

Agar aapke mobile me ye dono method kam nahi karta hai, to aap apne mobile me android apps install karke bhi aasani se apne android phone me screen shot le sakte hai.

Iske liye aap apne phone ke play store me jakar search bar me type kare “screenshot” aapke samne bahut sare apps show honge inme se jo apps aapko pasand aye usse install karle.

Ya aap chahe to is link par click karke Easy screenshot apps ko install kar sakte hai. Click here to download easy screen shot apps.

Easy screenshot apps install
Easy screenshot apps ko install karke usse open kare Uske bad “Start Capture” button par click karke asani se page ka shot le sakte hai.

Easy screenshot apps install

Start capture par click karne ke bad, ek warning box khulega or usme screen shot lene ka tarika likha hua hoga. Android mobile me apps se screenshot kaise le sakte hai.

  1. to take a screenshot, just press and hold the “Volume Down“, and “Power“, Buttons at the same time for 2 seconds.
  2. if that doesn’t work(or your phone is made by Samsung), try pressing and hold the “home“, and “power“, button at the same time for 2 seconds

Yani aapko same wahi options likha hua show hoga, screenshot lene ke liye jo tarika oupar bata gaya hai. simple aap “Volume Down’, + ‘Power’, button ya fir ‘Power‘, + ‘home‘, button ko ek sath 2 seconds tak press kare.

apps se mobile me screen shot lene ka tarika

To dosto aap ise tarah se apne android mobile me screenshot le sakte hai. Aap youn samjhye ke screen shot lene ke liye (Power + Volume Down) or (Power + Home) button ka hi jada tar use kiya jata hai.

Aur aapko ye jankari kaisi lagi iske bareme bhi bana na bhule, or aapko ye post pasand aye to isse socail media jaise Facebook, twitter, and google+ etc. par share karna na bhule.

Ye bhi padhe

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button