How to Connect and Share files two Computers/Laptops in Hindi/Urdu

2 Computer/Laptop ko aapas me connect karke file transfer aur share kaise karte hai wo bhi bina lane cable ke. iss article me mai aapke sath share karne ja raha hu ki Wifi (Wireless) ke duwara 2 PC/Laptop ko connect karke ek se dusre computer and laptop me file transfer kaise karna hai. How to Connect and Share files two Computers/Laptops in Hindi/Urdu.

How to Connect and Share files two Computers/Laptops in Hindi/Urdu

Ek se dusre computer ko aapas me connect karne ki zaroorat kyu parti hai? Jab aap Ek saath do char people kaam karte hai, jaise  cyber cafe, Office, workshop etc. then uske liye hame ek dusre ke computer/laptop ko aapas me jor lene se saara kaam easy ho jata hai.

aisa nahi karne se aapko pen drive se document copy/paste karne se aapka time bahut zyada waste hojata hai. aap ek se dusre computer ko aapas me jorne ka kaam lane cable ke through bhi kar sakte hai.

par yaha mai aapko wireless (WiFi) network ke through 2 computers ke files ko share karne ka aasan tarika batane ja raha hu. iske liye nhi to aapko kisi WiFi router ki zaroorat paregi. ye kaam aap easily apne computer me wifi  hotspot network create karke kar sakte hai.

iss article ko aap pura dhyan se study kare jisme aapko WiFi Hotspot and File transfer ka tarika bataya ja raha hai.

How to Connect and Share files two Computers/Laptops in Hindi/Urdu

Two computer PC me file Share karne ke liye sab se pahle aapko ek dusre computer ko aapas me connect karna parega aur iske liye pahle apne laptop/PC me ek wifi hotspot network banana hai.

to chaliye ab mai aapko pahle wifi hotspot banane ka tarika batane ja raha hu jise aapko step by step follow karna hai.

Aap chahe to Notepad ki madad se asani ke sath apne computer pc me wifi hotspot bana sakte hai, uske liye ye post follow kare.

Also read: Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer/Laptop Me Notepad Ki Madad Se

Step 1:

Pahle aapko network and sharing center option open karna hai. uske liye

  1. start menu par click kare
  2. phir Control Panel par jaye
  3. next Network and Sharing Center ko open kare.

Network and Sharing Center

Step 2:

Network and sharing center open karne ke baad next page me Set up a new connection or network option ko open kare.

Set up a new connection or network

Step 3:

Set up a new connection or network par click karne ke baad ab ek new pop-up window open hoga jisme aapko Setup a wireless ad hoc (computer-to-computer) network ko select karke Next par click kare.

Setup a wireless ad hoc (computer-to-computer) network

Step 4:

Next par click karne ke baad ab aapko Hok Network add karna hai yaani apna wifi network name and security key dalna hai.

  1. Network Name: yaha par aapko wifi name likhna hai
  2. Security type: WPA2-Personal select rahne dena hai
  3. Security key: 8 digit ka password dalna hai
  4. Save this network: √ tick mark karna hai
  5. sab sahi sahi dalne ke baad Next par click karna hai.

Give-your-network-name-and-security-options

Step 5:

Aapke computer/laptop me wifi hotspot network bankar tayyar ho gaya hai aap yaha apna Wireless network name: and Network security key: dekh sakte hai. then yaha aapko kuchh nahi karna hai bas Close par click karke bahar nikal jana hai.

wireless-network-ready-to-use

Step 6:

Ab aap apne desktop ke niche wale toolbar ke right side me wifi signal par click kar apna wifi hotspot name dekh sakte hai jaha pe Wating for users likha huwa nazar aayega.

Your WiFi Name

iss trick se aapne apne computer/laptop pc me easily wifi hotspot network create kar liya hai. ab aap apne iss network se kisi bhi dusre computer ko connect ya jor sakte hai par abhi aap koi file ya data dosre pc se share ya transfer nhi kar sakte hai uske liye aapko next Step follow karna hai.

How to Transfer Files from PC to PC using WiFi in Hindi/Urdu

uper batye huwe tarike se aapne jaan liya ki wireless network kaise banate hai ab jante hai ki apne PC se dosre computer me file share kaise karna hai.

Step 1:

sabse pahle aapne jo abhi abhi wifi banaya hai use jis computer me file transfer karna hai use connect kare.

Files transfer karne ke liye sab se pahle aapko apne computer PC me homegroup create karna hai. iske liye Desktop me my computer ya Network Folder open kare.

  1. Folder open karne ke baad left side me Homegroup ka option dekh sakte hai Homegroup par click kare.
  2. Homegroup par click karne ke baad Create a homegroup par click kare.

Create a homegroup

Step 2:

Create a homegroup par click karne ke baad ek pop-up window khulega jisme Picture, Music, Videos, Documents and Printer & Devices sab ko tick mark karke Next par click kare.

Select-what-you-want-to-share

Step 3:

sab file ko select karke next par click karne ke baad aapka homegroup password bankar ready ho jayega bas Finish button par click kare.

Note: ab aap iss password ko other PC me daal kar homegroup join karna hai iss liye password ko copy ya save kar le.

homegroup password

Abhi-Abhi aapne jo homegroup password creat kiya hai iss password ko jis laptop PC me file ya data transfer karna hai usme add kare uske liye niche bataye ja rahe tarike ko dhyan purwak follow kare.

Step 4:

ab aap sabse pahle jis computer ko apne computer se jorna hai use pahle apne wale computer ke wireless se connect kare.

Then uske baad other pc ke desktop me my computer ya koi bhi folder khole aur left side me Homegroup par click kar ke Share with other home PCs ke option me Join now par click kare.

join-homegroup

Note: Homegroup join karne ke liye aapko same usi PC ke wireless network se connect rahna zaroori hai jisme file ya data transfer ya share karna hai.

Step 5:

Join now par click karne ke baad Pop-up window khulega jisme Next par click karna hai.

join a homegroop

Step 6:

Next par click karne ke baad Share with other homegroup members option me Picture, Music, Videos, Documents and Printer & Devices sab ko Shared select karke Next par click kare.

share-with-othe-homegroup

Step 7:

Next par click karne ke baad aapke samne homegroup me password type karne ka option aayega jisme aapko pahle wale PC me homegroup create karte samay jo password show huwa tha. usko Type the password box me Enter karke Next par click kare.

type-the-homegroup-password

Step 8:

Password dalne ke baad next par click karte hi aap homegroup me join ho jayenge aur yaha par Finish button par click karna hai.

you-have-joined-the-homegroup

iss tarah aap ne successfully two Computer/Laptop PC ko aapas me connect kar liya hai woh bhi bilkul aasani ke saath. ab aap chahe to other PC se File/Data send ya receive kar sakte hai. iske liye aage ek do step aur follow karna hai.

Ek Computer se dosre Computer me File Send aur Receive kaise kare

Step 9:

ab apne computer ke desktop ya start menu se Network folder ko khole ke baad aapke screen par jis PC ko connect kiya hai uska name show hoga uspar click kare.

Network

Step 10:

Network option me other PC ke name par click karne ke baad ab aap us pc ke shared folder ka Documents dekh sakte hai isme jo chahe Files Folders Documents Copy/Paste karke ek dusre ke PC me transfer kar sakte hai.

Connected Two PC to WiFi

Note: Aap ke samne abhi Network option me sirf user folder hi dikh raha hoga agar aap chahte hai ki computer ka sab Data jaise C: drive D: drive etc me se file documents etc sab ko ek dusre ke computer me Send/Receive and transfer karna hai to uske liye aapko C: and D: drive data share ko enable karna parega.

to dosto ye jankari kaisi lagi, agar aapko PC to PC connect and file share karne me koi mushkil aarhi ho to comment karke puchh sakte hai.

Related Articles

7 Comments

  1. Bhai Aapne Bahut badhiya tarike se bataya hai. Maine apna computer becha aur apne pc data ko laptop me transfer karne ka tarika dhund raha tha par mujhe hindi me sahi tarike se kahi nahi mil raha tha par achanak se mujhe aapki post dikhi aur maine ise try kiya to maine badi hi aasani se apna data pc to laptop me transfer kar liya hai. Thank you bhai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button