Aadhaar Card Address, Date of Birth Online Update/Change Kaise Kare

How to update name, address, date of birth, gender, mobile number in aadhar card online. Hello dosto kya aap apne Aadhaar Card me koi sudhar karna chahte hai, jaise Address, Name, Date of birth, mobile number etc.. To ye kam aap asani se online kar sakte hai.

Aapko to malum hi hoga ke ab aadhar card Sabse Impotent id Proof aur Document Ban gaya Hai. Lekin kuchh logo ko Aadhar Card se Related kai sare Problem Hai. Adhaar Card Me Mobile Number Change/update karna, Adhar card Address change/ Update karna , Aadhar Card Me DOB ( Date Of birth ) Change Karna, – Email – Name badlana..etc.

How to change address in aadhaar card

Aapne Jab new aadhar card banwaya tha to jald baji me aapka address, date of birth (DOB) galat add hogaya ya aap ne kisi dusre address se apna aadhaar banwaya tha.

Ya kisi bhi karan aap apne aadhar me address, DOB update change karna chahte hai, To is article ko follow karke aap asani se apne aadhar card me hue galti ko sudhar sakte hai ke Adhar card me address change kaise kare.

  1. Voter ID Card Sudhar/Change/Correction Kaise Kare Online
  2. Aadhar Card ko Online Download kaise karte hai 

Documents Required for Aadhar Card Changing Address Online

Online aadhar card me Address change/ Update karne ke liye jo proof required hai uski list ye hai.

  1. Passport.
  2. Ration Card or PDS Photo Card.
  3. PAN Card.
  4. Driving License.
  5. Voter ID.
  6. NREGS Job Card.
  7. Government Photo ID Cards or PSU Issued Service Photo Identity Card.
  8. Arms License.
  9. Photo ID Issued by a Recognized Educational Institution.
  10. Photo Credit Card.
  11. Photo Bank ATM Card.
  12. Kissan Photo Passbook.
  13. Pensioner Photo Card.
  14. Freedom Fighter Photo Card.
  15. ECHS/ CGHS Photo Card.
  16. Certificate of Identity that has photo issued by Gazetted Officer or Tehsildar on a letterhead.
  17. Address Card that has name and photo issued by the Department of Posts.
  18. Disability ID Card or handicapped medical certificate that is issued by the respective State or Union Territory
  19. Government or Administrators.
  20. Marriage Certificate.
  21. Gazette Notification.
  22. Proof of Marriage document that has been issued by the Registrar.

Documents Required Proof of Date of Birth (DoB) for Aadhar

Date of birth (DOB) aadhar me online change karne ke liye aapko jo proof submit karna hai uska list ye hai.

  1. SSLC Certificate or Book.
  2. Birth Certificate.
  3. Passport.
  4. PAN Card.
  5. Certificate of Date of Birth that is issued by Group A Gazetted Officer on a letterhead.
  6. Government Photo ID Cards or PSU Issued Photo Identity Card that contains the DoB.
  7. Mark sheet that has been issued by any Government University or Board.
  8. Central Government Health Service Scheme Photo Card or Ex-Servicemen Contributory Health Scheme Photo
  9. Card.
  10. State or Central Pension Payment Order.

Dosto upar bataye gaye in sab document me se aapke pass koi bhi ek proof hai to aap online adhar card me apna address aur Date of birth (DOB) change update kar sate hai.

Aadhaar Card Address, Date of Birth Online Change/Update kaise Kare

Online me aadhar ka address, date of birth, name, Gender, mobile number etc.. change karne ke liye aapke aadhar card me Mobile Number registered hona Chahiye. aur vo mobile aapke pass me hona chahiye tab hi jakar aap kuch bhi change update kar sakte hai.

Agar aapke pass mobile number nahi hai to fir aapko offline method apnana hoga jiski jankari niche batayi gayi hai. Online aadhar update karne ke liye bataye jarahe steps ko follow kare.

Step : 1

Adhar me address, name ya koi bhi update karne ke liye Sabse Pahle aap ko Aadhar Card ki official Website uidai.gov.in ke Aadhaar Self Service Update Portal page par jana hai. Uske liye yaha click kare Aadhaar Details Updates.

Step : 2

Aadhaar Self Service Update Portal page par visit karne ke bad ab aapke samne jo page khulega usme aapko aadhaar number dal kar submit karna hai. Fir uske bad aapke registered mobile number par otp ayega usse dal kar Aadhar data update page visit kar sakte hai.

  1. Enter your aadhar number: Yahan Aapko Apane Aadhaar Card Number Add Karna Hai.
  2. Text Verification me Diye same 4 Digit Code Ko enter Karna Hai.
  3. Last me Send OTP Button Par Click Karna Hai.
  4. Ab Aapke Aadhaar Card Se Registered Mobile Number Par OTP ayega. Enter received OTP me code Enter Kare.
  5. TOP dalne ke Baad Login button par Click Kare.

Aadhar card ka mobile number online kaise badalte hai

Step : 3

OTP code dal kar Login karne ke bad ab aap Aadhaar data update request section page me pahunch jayenge yaha aapke samne bahut sara option dekhne ko milega.

Yahan Diye Option Me Bataye Sabhi Information Aap Online Change Kar sakate Hai. Jaise Name, Gender, DOB, Address, Mobile Number, Email Id.

  1. Address ko tick mark kare, Ya jisme chij me sudhar karna chahte hai usse select kare.
  2. Submit button par click kare.

Aadhaar card me address update kaise kare

Step : 4

Update Correct option ko select karneke bad next page me aapko apna new details dalna hai jisse aap update karna chahte hai.

  1. DOB: me apna sahi janam din dale
  2. Apne sambandhi ka type select kar ke name name likhe.
  3. Right me aap check karte jaye ke Hindi word sahi likha raha hai ke nahi.
  4. House, Road, Landmark etc dale.
  5. Post office ka PIN code dale.
  6. Village city select kare.
  7. Post select kare.
  8. District select kare
  9. State select kare.
  10. Submit Update Request button Par Click Kare.

Enter data for update

Step : 5

Personal details and Contact Details dal kar Submit update request karne ke bad next page me aap apna Review update dekh sakte hai sahi hai ke nahi, agar galat hai to Modify Button par click karke dobara se sab details add kar sakte hai.

  1. Adhar update Review check karle aapne jo dala tha same wahi hai ke nahi.
  2. Confirm that i have read the instructions ko tick mark kare.
  3. Sahi Details Add kiya Hai to Proceed button Par Click Kare.

Adhar update Review

Step : 6

Proceed button par click karne ke bad ab aapko requirement document scan karke upload karna hai. aur ek bat ka Dheyan rahe ke aap jo bhi proof upload kar rahe hai usme Self Signature hona chahiye.

Yani pahle aap apne id proof card ka print nikale  aur usme Signature karke scan kare aur fir uske bad upload kare. agar aap bena shine kiye hue document upload kar dete hai to aapki request reject kar di jayegi.

  1. Document type select kare
  2. Choose file par click karke apne computer me se self signature kiya hua proof of address and Proof of DOB document upload kare.
  3. Submit button par click kare

Upload requirement document

Step : 7

Address proof aur Age proof documents upload kar ke Submit button par click karne ke bad ab aap last steps me pahunch gaye hai BPO service provider select karna hai ke aap kis service provider ke through apna aadhar sudhar karna chahte hai.

Aadhar card ka address online change kaise kare

Step 8:

Jaise hi BPO service provider select kar ke submit button par click karnge to Address change/update/correction request successfully submit ho jayega, aur Change Request Send ho jayega and aapko URN tracking number mil jayega. Jisse aap download ya print kar sakte hai.

Aadhaar Card Me New Mobile Number Kaise jode

URN tracking number se aap pni request ko track kar sankte hai ke aapne changing ke liye jo request bheja tha os par kam hua ke nahi.

Status Check Karne Ke Liye : Check Aadhaar Status

Online me aadhaar address, name, date of birth update karne ke 10-15  days me aapka address change ho jayega 15 din bad aap adhaar card download karke dekh sakte hai.

Dosto Is Article se aapne jana ke adhar card me address, date of birth, change, update  kaise kiya jata hai. agar aapka koi sawal hai to aap comment karke puchh sakte hai, aur is article Ko Friends, Family Ke Sath Shear Jarur kare.

Related Articles

6 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button